SEARCH RESULTS
Showing search results for "baa.ulii"
Sher MATCHES FOR "baa.ulii"
Sher
burii sarisht na badlii jagah badalne se
chaman me.n aa ke bhii kaa.nTaa gulaab ho na sakaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
yaad aa.ii hai to phir TuuT ke yaad aa.ii hai
ko.ii guzrii hu.ii manzil ko.ii bhuulii hu.ii dost
Ahmad Faraz
Sher
barsaat ke aate hii tauba na rahii baaqii
baadal jo nazar aa.e badlii merii niiyat bhii
Hasrat Mohani
Sher
Nushur Wahidi
Sher
Zafar Ali Khan
Sher
gungunaatii hu.ii aatii hai.n falak se buu.nde.n
ko.ii badlii tirii paazeb se Takraa.ii hai
Qateel Shifai
Sher
bhuulii hu.ii sadaa huu.n mujhe yaad kiijiye
tum se kahii.n milaa huu.n mujhe yaad kiijiye
Saghar Siddiqui
Sher
garmii-e-shiddat-e-jazbaat bataa detaa hai
dil to bhuulii hu.ii har baat bataa detaa hai
Baqa Baluch
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
ko.ii puraanaa KHat kuchh bhuulii-bisrii yaad
zaKHmo.n par vo lamhe marham hote hai.n
Anjum Irfani
Sher
rone vaale hu.e chup hijr kii duniyaa badlii
sham.a be-nuur hu.ii sub.h kaa taaraa niklaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
Rajinder Manchanda Bani
Sher
rut badlii to zamii.n ke chehre kaa Gaaza bhii badlaa
ra.ng magar KHud aasmaan ne badle kaise kaise
Akbar Hyderabadi
Sher
shaayad vo bhuulii-bisrii na ho aarzuu ko.ii
kuchh aur bhii kamii sii hai terii kamii ke saath
Mustafa Shahab
Sher
miltii hai KHushii sab ko jaise hii kahii.n se bhii
bhuulii hu.i bachpan kii tasviir nikaltii hai