SEARCH RESULTS
Showing search results for "baaKHtar"
Sher MATCHES FOR "baaKHtar"
Sher
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dekh zindaa.n se pare ra.ng-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karnaa hai to phir paa.nv kii zanjiir na dekh
Majrooh Sultanpuri
Sher
aa.iine me.n vo dekh rahe the bahaar-e-husn
aayaa miraa KHayaal to sharmaa ke rah ga.e
Hasrat Mohani
Sher
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
bharii bahaar me.n ik shaaKH par khilaa hai gulaab
ki jaise tuu ne hathelii pe gaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
zulm phir zulm hai ba.Dhtaa hai to miT jaataa hai
KHuun phir KHuun hai Tapkegaa to jam jaa.egaa
Sahir Ludhianvi
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
Nushur Wahidi
Sher
saaqii ga.ii bahaar rahii dil me.n ye havas
tuu minnato.n se jaam de aur mai.n kahuu.n ki bas
Mohammad Rafi Sauda
Sher
dosto jashn manaa.o ki bahaar aa.ii hai
phuul girte hai.n har ik shaaKH se aa.nsuu kii tarah
Obaidullah Aleem
Sher
tere tohfe to sab achchhe hai.n magar mauj-e-bahaar
ab ke mere liye KHushbuu-e-hinaa aa.ii ho
Parveen Shakir
Sher
tamaam umr kiyaa ham ne intizaar-e-bahaar
bahaar aa.ii to sharminda hai.n bahaar se ham