SEARCH RESULTS
Showing search results for "baade"
Sher MATCHES FOR "baade"
Sher
Bashir Badr
Sher
yahaa.n libaas kii qiimat hai aadmii kii nahii.n
mujhe gilaas ba.De de sharaab kam kar de
Bashir Badr
Sher
vo jhuuT bol rahaa thaa ba.De saliiqe se
mai.n e'tibaar na kartaa to aur kyaa kartaa
Waseem Barelvi
Sher
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ba.De azaab me.n huu.n mujh ko jaan bhii hai aziiz
sitam ko dekh ke chup bhii rahaa nahii.n jaataa
Zeb Ghauri
Sher
Mohsin Naqvi
Sher
saaya hai kam khajuur ke uu.nche daraKHt kaa
ummiid baa.ndhiye na ba.De aadmii ke saath
Kaif Bhopali
Sher
tuu agar paas nahii.n hai kahii.n maujuud to hai
tere hone se ba.De kaam hamaare nikle
Ahmad Mushtaq
Sher
girte hai.n samundar me.n ba.De shauq se dariyaa
lekin kisii dariyaa me.n samundar nahii.n girtaa
Qateel Shifai
Sher
Rasa Dehlvi
Sher
apnii manzil pe pahu.nchnaa bhii kha.De rahnaa bhii
kitnaa mushkil hai ba.De ho ke ba.De rahnaa bhii
Shakeel Azmi
Sher
ham ye to nahii.n kahte ki ham tujh se ba.De hai.n
lekin ye bahut hai ki tire saath kha.De hai.n
Waseem Barelvi
Sher
aasmaano.n me.n u.Daa karte hai.n phuule phuule
halke logo.n ke ba.De kaam havaa kartii hai
Mohammad Aazam
Sher
ba.De sukuun se Duube the Duubne vaale
jo saahilo.n pe kha.De the bahut pukaare bhii