SEARCH RESULTS
Showing search results for "baar-e-ma.asiyat"
Sher MATCHES FOR "baar-e-ma.asiyat"
Sher
ai baaGbaa.n nahii.n tire gulshan se kuchh Garaz
mujh se qasam le chhe.Duu.n agar barg-o-bar kahii.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
daastaan-e-shauq kitnii baar dohraa.ii ga.ii
sun.ne vaalo.n me.n tavajjoh kii kamii paa.ii ga.ii
Aale Ahmad Suroor
Sher
itnaa bhii baar-e-KHaatir-e-gulshan na ho ko.ii
TuuTii vo shaaKH jis pe miraa aashiyaana thaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
baar-e-Gam-e-jahaa.n bhii hai teraa KHayaal bhii
hai.n kitnii vus.ate.n dil-e-aashufta-haal me.n
Zohra Naseem
Sher
tasavvur me.n vo baar baar aa rahe hai.n
jhalak apnii parde se dikhlaa rahe hai.n
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
Sher
jaanaa pa.Daa raqiib ke dar par hazaar baar
ai kaash jaantaa na tire rah-guzar ko mai.n
Mirza Ghalib
Sher
tujhe kuchh us kii KHabar bhii hai bhuulne vaale
kisii ko yaad terii baar baar aa.ii hai
Kausar Niyazi
Sher
sau baar aa.ii ho.nTo.n pe jhuuTii ha.nsii magar
ik baar bhii na dil se kabhii muskuraa sake
Salam Sandelvi
Sher
nazar aatii nahii.n ab dil me.n tamannaa ko.ii
baad muddat ke tamannaa mirii bar aa.ii hai
Altaf Hussain Hali
Sher
vidaa.a o vasl me.n hai.n lazzate.n judaagaana
hazaar baar tuu jaa sad-hazaar baar aa jaa
Mirza Ghalib
Sher
usii ne baKHshaa hai mujh ko shu.uur jiine kaa
jo mushkilo.n kii gha.Dii baar baar aa.ii hai
Mahfuzur Rahman Adil
Sher
ko.ii to dosh se baar-e-safar utaaregaa
hazaaro.n raahzan ummiid-vaar raah me.n hai
Haidar Ali Aatish
Sher
use kaho ki use baKHsh duu.ngii saaraa jahaa.n
use kaho ki mirii samt ek baar aa.e
Bushra Bakhtiyar Khan
Sher
jin baato.n ko sun.naa tak baar-e-KHaatir thaa
aaj unhii.n baato.n se dil bahlaa.e hu.e huu.n
Zehra Nigaah
Sher
ham se ye baar-e-lutf uThaayaa na jaa.egaa
ehsaa.n ye kiijiye ki ye ehsaa.n na kiijiye