SEARCH RESULTS
Showing search results for "baayaa.n"
Sher MATCHES FOR "baayaa.n"
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
qubuul kaise karuu.n un kaa faisla ki ye log
mire KHilaaf hii meraa bayaan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
andaaz-e-bayaa.n garche bahut shoKH nahii.n hai
shaayad ki utar jaa.e tire dil me.n mirii baat
Allama Iqbal
Sher
ye masaa.il-e-tasavvuf ye tiraa bayaan 'Gaalib'
tujhe ham valii samajhte jo na baada-KHvaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
'saif' andaaz-e-bayaa.n rang badal detaa hai
varna duniyaa me.n ko.ii baat na.ii baat nahii.n
Saifuddin Saif
Sher
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
unho.n ne apne mutaabiq sazaa sunaa dii hai
hame.n sazaa ke mutaabiq bayaan denaa hai
Charagh Sharma
Sher
dard-e-dil ke vaaste paidaa kiyaa insaan ko
varna taa.at ke liye kuchh kam na the karr-o-bayaa.n
Khwaja Meer Dard
Sher
vo aadmii nahii.n hai mukammal bayaan hai
maathe pe us ke choT kaa gahraa nishaan hai
Dushyant Kumar
Sher
zabaan dil kii haqiiqat ko kyaa bayaa.n kartii
kisii kaa haal kisii se kahaa nahii.n jaataa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Farhat Ehsas
Sher
aur bhii kitne tariiqe hai.n bayaan-e-Gam ke
muskuraatii hu.ii aa.nkho.n ko to pur-nam na karo
Abdul Aziz Fitrat
Sher
kaun kahtaa hai mohabbat kii zabaa.n hotii hai
ye haqiiqat to nigaaho.n se bayaa.n hotii hai
Sahir Hoshiyarpuri
Sher
ashko.n ke nishaa.n parcha-e-saada pe hai.n qaasid
ab kuchh na bayaa.n kar ye ibaarat hii bahut hai