SEARCH RESULTS
Showing search results for "baazaar-e-ulfat"
Sher MATCHES FOR "baazaar-e-ulfat"
Sher
Wamiq Jaunpuri
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
gar aap pahle rishta-e-ulfat na to.Dte
mar miT ke ham bhii KHair nibhaate kisii tarah
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
kise fursat ki farz-e-KHidmat-e-ulfat bajaa laa.e
na tum bekaar baiThe ho na ham bekaar baiThe hai.n
Azad Ansari
Sher
Asrarul Haq Majaz
Sher
baad-e-tark-e-ulfat bhii yuu.n to ham jiye lekin
vaqt be-tarah biitaa umr be-sabab guzrii
Zuhoor Nazar
Sher
raaz-e-Gam-e-ulfat ko ye duniyaa na samajh le
aa.nsuu mire daaman me.n tumhaare bhii mile hai.n
Ali Zaheer Rizvi Lakhnavi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
ashk-e-Gam-e-ulfat me.n ik raaz-e-nihaanii hai
pii jaa.o to amrit hai bah jaa.e to paanii hai
Anand Narayan Mulla
Sher
saraapaa rehn-e-ishq-o-naa-guziir-e-ulfat-e-hastii
ibaadat barq kii kartaa huu.n aur afsos haasil kaa
Mirza Ghalib
Sher
agar kaar-e-ulfat ko mushkil samajh luu.n
to kyaa tark-e-ulfat me.n aasaaniyaa.n hai.n
Azad Ansari
Sher
qulqul-e-miinaa sadaa naaquus kii shor-e-azaa.n
ThanDe ThanDe diidanii hai garmii-e-baazaar-e-sub.h
Riyaz Khairabadi
Sher
Josh Malsiani
Sher
unhii.n ke faiz se baazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junuu.n iKHtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ko.ii kis tarah raaz-e-ulfat chhupaa.e
nigaahe.n milii.n aur qadam Dagmagaa.e