SEARCH RESULTS
Showing search results for "bad-havaasii"
Sher MATCHES FOR "bad-havaasii"
Sher
KHushii milii to ye aalam thaa bad-havaasii kaa
ki dhyaan hii na rahaa Gam kii be-libaasii kaa
Zafar Iqbal
Sher
palaTne vaale parindo.n pe bad-havaasii hai
mai.n is zamii.n kaa kahii.n aaKHirii shajar to nahii.n
Qamar Abbas Qamar
Sher
hazaar baar havaa.o.n se dushmanii hogii
bas ek baar charaaGo.n se dostii ke liye
Piyush Awasthi
Sher
samjhii ga.ii jo baat hamaarii Galat to kyaa
yaa.n tarjuma kuchh aur hai aayat kuchh aur hai
Anjum Rumani
Sher
jafaa ke zikr pe vo bad-havaas kaisaa hai
zaraa sii baat thii lekin udaas kaisaa hai
Abdussamad ’Tapish’
Sher
pahchaan apnii ham ne miTaa.ii hai is tarah
bachcho.n me.n ko.ii baat hamaarii na aa.egii
Bashir Badr
Sher
bajaa.e mai diyaa paanii kaa ik gilaas mujhe
samajh liyaa mire saaqii ne bad-havaas mujhe
Suroor Jahanabadi
Sher
ye sar-ba-mohr botale.n hai.n jo sharaab kii
raate.n hai.n un me.n band hamaarii shabaab kii
Riyaz Khairabadi
Sher
go harf-o-ashk dono.n the saamaan-e-guftuguu
phir bhii hamaarii baat me.n ib.haam rah gayaa
Badr Muneer
Sher
hamaarii KHair hai lekin bas ik guzaarish hai
hamaare baad kisii se bhii yuu.n nahii.n karnaa
Haseebul Hasan
Sher
saaTh pai.nsaTh baras ke baa'd aayaa
'ishq mujh ko havas ke baa'd aayaa
Junaid Saqlaini Mujaddadi
Sher
mujh ko havas-e-baada-o-saaGar nahii.n saaqii
un mast nigaaho.n kaa bas ik jaam bahut hai
Wafa Shahjahanpuri
Sher
Gariib ko havas-e-zindagii nahii.n hotii
bas itnaa hai ki vo izzat se marnaa chaahtaa hai
Waqar Manvi
Sher
ik baar agar qafas kii havaa raas aa ga.ii
ai KHud-fareb phir havas-e-baal-o-par kahaa.n