SEARCH RESULTS
Showing search results for "badiyo.n"
Sher MATCHES FOR "badiyo.n"
Sher
Ameer Khusrau
Sher
kiyaa baadalo.n me.n safar zindagii bhar
zamii.n par banaayaa na ghar zindagii bhar
Anwar Shuoor
Sher
Abdul Hamid
Sher
vaaqif nahii.n ki paa.nv me.n pa.Dtii hai.n be.Diyaa.n
duulhe ko ye KHushii hai ki merii baraat hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
hame.n aziiz hai.n in bastiyo.n kii diivaare.n
ki jin ke saa.e bhii diivaar bante jaate the
Kishwar Naheed
Sher
palaT ke aa ga.ii KHeme kii samt pyaas mirii
phaTe hu.e the sabhii baadalo.n ke mashkiize
Mohsin Naqvi
Sher
hai.n anaasir kii ye suurat-baaziyaa.n
sho.abde kyaa kyaa hai.n un chaaro.n ke beach
Meer Taqi Meer
Sher
bastiyo.n me.n hone ko haadse bhii hote hai.n
pattharo.n kii zad par kuchh aa.ine bhii hote hai.n
Ghulam Rabbani Taban
Sher
bahut Guruur thaa suuraj ko apnii shiddat par
so ek pal hii sahii baadalo.n se haar gayaa
Qamar Abbas Qamar
Sher
sun bastiyo.n kaa haal jo had se guzar ga.ii.n
un ummato.n kaa zikr jo rasto.n me.n mar ga.ii.n
Muneer Niyazi
Sher
vo gulaabii baadalo.n me.n ek niilii jhiil sii
hosh qaa.em kaise rahte thaa hii kuchh aisaa libaas
Nusrat Gwaliari
Sher
Saleem Siddiqui
Sher
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
ye log jaa ke kaTii bogiyo.n me.n baiTh ga.e
samay ko rail kii paTrii ke saath chalne diyaa
Azhar Faragh
Sher
duur tak ko.ii na aayaa un ruto.n ko chho.Dne
baadalo.n ko jo dhanak kii chuu.Diyaa.n pahnaa ga.ii.n
Zubair Rizvi
Sher
ajiib baat hai mai.n jab bhii kuchh udaas hu.aa
diyaa sahaaraa hariifo.n kii bad-du.aa.o.n ne