SEARCH RESULTS
Showing search results for "bagaavat"
Sher MATCHES FOR "bagaavat"
Sher
kuchh to tire mausam hii mujhe raas kam aa.e
aur kuchh mirii miTTii me.n baGaavat bhii bahut thii
Parveen Shakir
Sher
tujh se kis tarah mai.n iz.haar-e-tamannaa kartaa
lafz suujhaa to ma.aanii ne baGaavat kar dii
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
mai.n boltaa huu.n to ilzaam hai baGaavat kaa
mai.n chup rahuu.n to ba.Dii bebasii sii hotii hai
Bashir Badr
Sher
saahil se sunaa karte hai.n lahro.n kii kahaanii
ye Thahre hu.e log baGaavat nahii.n karte
Khursheed Akbar
Sher
aur sab bhuul ga.e harf-e-sadaaqat likhnaa
rah gayaa kaam hamaaraa hii baGaavat likhnaa
Habib Jalib
Sher
Aziz Nabeel
Sher
apne hii KHuun se is tarah adaavat mat kar
zinda rahnaa hai to saa.nso.n se baGaavat mat kar
Abbas Dana
Sher
Zafar Iqbal
Sher
dil ne har daur me.n duniyaa se baGaavat kii hai
dil se tum rasm-o-rivaayaat kii baate.n na karo
Abdul Mateen Niyaz
Sher
Sahar Ansari
Sher
zaraa saa shor-e-baGaavat uThaa aur us ke ba.ad
vaziir taKHt pe baiThe the aur jail me.n ham
Shozeb Kashir
Sher
saudaa hai zamiiro.n kaa har gaam tijaarat hai
chup huu.n to qayaamat hai boluu.n to baGaavat hai
Gulnar Aafreen
Sher
Bilqis Zafirul Hasan
Sher
do chaar baras jitne bhii hai.n jabr hii sah le.n
is umr me.n ab ham se baGaavat nahii.n hotii
Akram Mahmud
Sher
Khalid Ghani
Sher
Ehya Bhojpuri
Sher
phir vahii KHvaab vahii zid nahii.n 'aaqib-saabir'
ham usuulo.n se baGaavat nahii.n karne vaale
Aqib Sabir
Sher
Erum Zehra
Sher
us ne haatho.n kii lakiiro.n se baGaavat kii thii
ab jahaa.n hogaa mirii tarah vo tanhaa hogaa
Imtiyaz Ahmad Qamar
Sher
mai.n muqallid nahii.n huu.n rivaayaat kaa
merii raahe.n baGaavat se mashruut hai.n