SEARCH RESULTS
Showing search results for "bahal"
Sher MATCHES FOR "bahal"
Sher
yahii hai zindagii kuchh KHvaab chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
judaa hu.e to judaa.ii me.n ye kamaal bhii thaa
ki us se raabta TuuTaa bhii thaa bahaal bhii thaa
Naved Raza
Sher
yuu.n jii bahal gayaa hai tirii yaad se magar
teraa KHayaal tere baraabar na ho sakaa
Khalilur Rahman Azmi
Sher
vo mehrbaan nahii.n hai to phir KHafaa hogaa
ko.ii to raabta us ko bahaal rakhnaa hai
Abul Hasanat Haqqi
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
vo kyaa KHushii thii jo dil me.n bahaal rahtii thii
magar vaj.h nahii.n bantii thii muskuraane kii
Faizan Hashmi
Sher
apne chehre ko badalnaa to bahut mushkil hai
dil bahal jaa.egaa aa.iina badal kar dekho
Naseem Nikhat
Sher
vo jis ne mujh ko tire hijr me.n bahaal rakhaa
tuu aa gayaa hai to kyaa us se bevafaa ho jaa.uu.n
Irfan Sattar
Sher
mujh ko le Duubaa tiraa shahr me.n yaktaa honaa
dil bahal jaataa agar ko.ii bhii tujh saa hotaa
Shahryar
Sher
jo ishq chaahtaa hai vo honaa nahii.n hai aaj
KHud ko bahaal karnaa hai khonaa nahii.n hai aaj
Farhat Ehsas
Sher
rishta bahaal kaash phir us kii galii se ho
jii chaahtaa hai ishq dobaara usii se ho
Irshad Khan Sikandar
Sher
Himayat Ali Shayar
Sher
yaar aaj mai.n ne bhii ik kamaal karnaa hai
jism se nikalnaa hai jii bahaal karnaa hai
Mohammad Alvi
Sher
Ata ul Haq Qasmi
Sher
Gam se bahal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n
dard me.n Dhal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n
Pirzada Qasim
Sher
ham aa.e roz nayaa KHvaab dekhte hai.n magar
ye log vo nahii.n jo KHvaab se bahal jaa.e.n