SEARCH RESULTS
Showing search results for "bahr-e-aazam"
Sher MATCHES FOR "bahr-e-aazam"
Sher
duniyaa me.n 'bahr' kaun ibaadat-guzaar hai
saum-o-salaat daaKHil-e-rasm-o-rivaaj hai
Imdad Ali Bahr
Sher
ko.ii haram ko gayaa ko.ii dair ko ai 'bahr'
hazaar shukr na mai.n is doraahe me.n bhaTkaa
Imdad Ali Bahr
Sher
vo kuucha sher-o-suKHan kaa hai ta.ng-o-taar ai 'bahr'
ki suujhte nahii.n ma.anii ba.De zahiino.n ko
Imdad Ali Bahr
Sher
yaar ko dekhte hii mar ga.e ai 'bahr' afsos
KHaak merii ko.ii aa.nkho.n me.n qazaa kii jho.nke
Imdad Ali Bahr
Sher
ri.aayat chaahiye aisii ki zebaa.ii ho ma.anii kii
uruus-e-sher kaa ai 'bahr' zevar ho to aisaa ho
Imdad Ali Bahr
Sher
siina-e-sabr pe ik baar-e-alam rah gayaa hai
ek pattaa hii sahii shaaKH pe nam rah gayaa hai
Azm Shakri
Sher
jo zamii.n kuucha-e-qaatil me.n nikaltii hai na.ii
vaqf vo bahr-e-mazaar-e-shohadaa hotii hai
Akbar Allahabadi
Sher
dono.n bahr-e-shola-e-zaat dono.n asiir-e-anaa
dariyaa ke lab par paanii dasht ke lab par pyaas
Krishna Kumar Toor
Sher
Badr-e-Alam Khalish
Sher
Sada Ambalvi
Sher
Syed Zameer Jafri
Sher
ism-e-aazam bhii mire saath safar kartaa hai
merii kashtii me.n jo baiThegaa amaa.n paa.egaa
Mahmood Ahmad Hashmi
Sher
kanval Dibaivi
Sher
ham ziyaada ke talabgaar nahii.n hai.n lekin
vaqt kuchh bahr-e-mulaaqaat nikaale rakhnaa