SEARCH RESULTS
Showing search results for "bait"
Sher MATCHES FOR "bait"
Sher
tire abru-e-pevasta kaa aalam me.n fasaana hai
kisii ustaad shaa.er kaa ye bait-e-aashiqaana hai
Haidar Ali Aatish
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
aa.nkh apnii tirii abruu pe jamii rahtii hai
roz is bait pe ham saad kiyaa karte hai.n
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Sher
Taban Abdul Hai
Sher
ye ziist tarf-e-dil hii me.n yaa-rab tamaam ho
kaafir huu.n gar iraada-e-bait-ul-haraam ho
Joshish Azimabadi
Sher
bait-bahsii na kar ai faaKHta gulshan me.n ki aaj
misra-e-sarv se mauzuu.n hai miraa misra-e-aah
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
maza matl.a kaa de fikr-e-do-pahluu ho to aisii ho
rahe.n hisse baraabar bait-e-abruu ho to aisii ho
Naseem Dehlvi
Sher
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hai.n un ko
kyaa hu.aa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
gilaa bhii tujh se bahut hai magar mohabbat bhii
vo baat apnii jagah hai ye baat apnii jagah
Basir Sultan Kazmi
Sher
vafaa kare.nge nibaahe.nge baat maane.nge
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
har dha.Dakte patthar ko log dil samajhte hai.n
umre.n biit jaatii hai.n dil ko dil banaane me.n
Bashir Badr
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke