SEARCH RESULTS
Showing search results for "bajaayaa"
Sher MATCHES FOR "bajaayaa"
Sher
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
jis taraf tuu hai udhar ho.ngii sabhii kii nazre.n
iid ke chaa.nd kaa diidaar bahaana hii sahii
Amjad Islam Amjad
Sher
tum us ke paas ho jis ko tumhaarii chaah na thii
kahaa.n pe pyaas thii dariyaa kahaa.n banaayaa gayaa
Yasir Khan Inam
Sher
ra.ng KHushbuu aur mausam kaa bahaanaa ho gayaa
apnii hii tasviir me.n chehra puraanaa ho gayaa
Khalid Ghani
Sher
mirii zindagii to guzrii tire hijr ke sahaare
mirii maut ko bhii pyaare ko.ii chaahiye bahaana
Jigar Moradabadi
Sher
utar bhii aa.o kabhii aasmaa.n ke ziine se
tumhe.n KHudaa ne hamaare liye banaayaa hai
Bashir Badr
Sher
vo puuchhtaa thaa mirii aa.nkh bhiigne kaa sabab
mujhe bahaana banaanaa bhii to nahii.n aayaa
Waseem Barelvi
Sher
hame.n to KHair bikharnaa hii thaa kabhii na kabhii
havaa-e-taaza kaa jho.nkaa bahaana ho gayaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
bajaa kahe jise aalam use bajaa samjho
zabaan-e-KHalq ko naqqaara-e-KHudaa samjho
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
dozaKH o jannat hai.n ab merii nazar ke saamne
ghar raqiibo.n ne banaayaa us ke ghar ke saamne
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
sukuun-e-dil ke liye ishq to bahaana thaa
vagarna thak ke kahii.n to Thahar hii jaanaa thaa
Fatima Hasan
Sher
zamiin itnii nahii.n hai ki paa.nv rakh paa.e.n
dil-e-KHaraab kii zid hai ki ghar banaayaa jaa.e
Tariq Naeem
Sher
bahaana Dhuu.nDte rahte hai.n ko.ii rone kaa
hame.n ye shauq hai kyaa aastii.n bhigone kaa