SEARCH RESULTS
Showing search results for "balotaa"
Sher MATCHES FOR "balotaa"
Sher
patthar ke jigar vaalo Gam me.n vo ravaanii hai
KHud raah banaa legaa bahtaa hu.aa paanii hai
Bashir Badr
Sher
raasta sochte rahne se kidhar bantaa hai
sar me.n saudaa ho to diivaar me.n dar bantaa hai
Jaleel 'Aali'
Sher
kis ne bhiige hu.e baalo.n se ye jhaTkaa paanii
jhuum ke aa.ii ghaTaa TuuT ke barsaa paanii
Arzoo Lakhnavi
Sher
kisii sabab se agar boltaa nahii.n huu.n mai.n
to yuu.n nahii.n ki tujhe sochtaa nahii.n huu.n mai.n
Iftikhar Mughal
Sher
Ahmad Faraz
Sher
mai.n boltaa gayaa huu.n vo suntaa rahaa KHaamosh
aise bhii merii haar hu.ii hai kabhii kabhii
Waseem Barelvi
Sher
kal apne-aap ko dekhaa thaa maa.n kii aa.nkho.n me.n
ye aa.iina hame.n buu.Dhaa nahii.n bataataa hai
Munawwar Rana
Sher
ittifaaq apnii jagah KHush-qismatii apnii jagah
KHud banaataa hai jahaa.n me.n aadmii apnii jagah
Anwar Shuoor
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
apnii mastii me.n bahtaa dariyaa huu.n
mai.n kinaara bhii huu.n bha.nvar bhii huu.n
Tahzeeb Hafi
Sher
mai.n boltaa huu.n to ilzaam hai baGaavat kaa
mai.n chup rahuu.n to ba.Dii bebasii sii hotii hai
Bashir Badr
Sher
zulm phir zulm hai ba.Dhtaa hai to miT jaataa hai
KHuun phir KHuun hai Tapkegaa to jam jaa.egaa
Sahir Ludhianvi
Sher
Jamal Ehsani
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
Zeb Ghauri
Sher
aa.ina ye to bataataa hai ki mai.n kyaa huu.n magar
aa.ina is pe hai KHaamosh ki kyaa hai mujh me.n