SEARCH RESULTS
Showing search results for "baruu"
Sher MATCHES FOR "baruu"
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
ye aarzuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karte
ham aur bulbul-e-betaab guftuguu karte
Haidar Ali Aatish
Sher
shikaayate.n bhii bahut hai.n hikaayate.n bhii bahut
mazaa to jab hai ki yaaro.n ke ruu-ba-ruu kahiye
Ali Sardar Jafri
Sher
kaash us ke ruu-ba-ruu na kare.n mujh ko hashr me.n
kitne mire savaal hai.n jin kaa nahii.n javaab
Meer Taqi Meer
Sher
Ghamgeen Dehlvi
Sher
Khushbir Singh Shaad
Sher
na jaane kyaa hai ki jab bhii mai.n us ko dekhtaa huu.n
to ko.ii aur mire ruu-ba-ruu nikaltaa hai
Zeb Ghauri
Sher
fareb-e-jalva kahaa.n tak ba-ruu-e-kaar rahe
naqaab uThaa.o ki kuchh din zaraa bahaar rahe
Akhtar Ali Akhtar
Sher
ruu-ba-ruu kar ke kabhii apne mahakte surKH ho.nT
ek do pal ke liye gul-daan kar degaa mujhe
Zafar Iqbal
Sher
tamaam umr akele me.n tujh se baate.n kii.n
tamaam umr tire ruu-ba-ruu KHamosh rahe
Khursheed Rizvi
Sher
abhii se raasta kyuu.n rokne lagii duniyaa
kha.De hu.e hai.n abhii apne ruu-ba-ruu ham log
Irfan Siddiqi
Sher
rakh diyaa vaqt ne aa.iina banaa kar mujh ko
ruu-ba-ruu hote hu.e bhii mai.n faraamosh rahaa
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
Raghib Akhtar
Sher
ramazaa.n me.n tuu na jaa ruu-ba-ruu un ke 'maa.il'
qabl-e-iftaar badal jaa.egii niyyat terii