SEARCH RESULTS
Showing search results for "basaan-e-qais"
Sher MATCHES FOR "basaan-e-qais"
Sher
ai qais-e-junuu.n-pesha 'inshaa' ko kabhii dekhaa
vahshii ho to aisaa ho rusvaa ho to aisaa ho
Ibn۔e۔Insha
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
basaan-e-naqsh-e-qadam tere dar se ahl-e-vafaa
uThaate sar nahii.n hargiz tabaah ke maare
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
du.aa.e.n maa.ngii hai.n saaqii ne khol kar zulfe.n
basaan-e-dast-e-karam abr-e-dajla-baar baras
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
basaan-e-aa.ina ham ne to chashm vaa kar lii
jidhar nigaah kii saaf us ko barmalaa dekhaa
Shah Naseer
Sher
maanind-e-qais ret na sahraa kii chhaaniye
kis ko milii hai kis kii KHabar raqs kiijiye
Muzaffar Ali Syed
Sher
ghar me.n pahu.nchaa thaa ki aa.ii najd se aavaaz-e-qais
paa.nv meraa ek andar ek baahar rah gayaa
Riyaz Khairabadi
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
naqsh-e-qadam hai.n raah me.n farhaad-o-qais ke
ai ishq khii.nch kar mujhe laayaa idhar kahaa.n
Sahir Dehlavi
Sher
farhaad o qais o vaamiq o azraa the chaar dost
ab ham bhii aa mile to hu.e mil ke chaar paa.nch
Bahadur Shah Zafar
Sher
paivasta gard-e-dasht rahii gar tah-e-daruu.n
aayaa hai jism-e-qais agar pairahan ke biich
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kyaa kohkan kii koh-kanii kyaa junuun-e-qais
vaadii-e-ishq me.n ye maqaam ibtidaa ke hai.n
Ismail Merathi
Sher
kaa.nTo.n pe misl-e-qais kahaa.n tak ravaa.n-davaa.n
lailaa-e-jaa.n hai jism kii mahmil se dil uchaaT