SEARCH RESULTS
Showing search results for "batiyaa.n"
Sher MATCHES FOR "batiyaa.n"
Sher
Ameer Khusrau
Sher
KHizaa.n kii rut hai janam-din hai aur dhu.aa.n aur phuul
havaa bikher ga.ii mom-battiyaa.n aur phuul
Sabir Zafar
Sher
khi.Dkiyo.n se jhaa.nktii hai raushnii
battiyaa.n jaltii hai.n ghar ghar raat me.n
Mohammad Alvi
Sher
log TuuT jaate hai.n ek ghar banaane me.n
tum taras nahii.n khaate bastiyaa.n jalaane me.n
Bashir Badr
Sher
Iftikhar Arif
Sher
ab yaad-e-raftagaa.n kii bhii himmat nahii.n rahii
yaaro.n ne kitnii duur basaa.ii hai.n bastiyaa.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Ibn e Insha
Sher
bastiyaa.n kuchh hu.ii.n viiraan to maatam kaisaa
kuchh KHaraabe bhii to aabaad hu.aa karte hai.n
Aale Ahmad Suroor
Sher
ye bastiyaa.n hai.n ki maqtal du.aa kiye jaa.e.n
du.aa ke din hai.n musalsal du.aa kiye jaa.e.n
Iftikhar Arif
Sher
hame.n aziiz hai.n in bastiyo.n kii diivaare.n
ki jin ke saa.e bhii diivaar bante jaate the
Kishwar Naheed
Sher
vaaqif nahii.n ki paa.nv me.n pa.Dtii hai.n be.Diyaa.n
duulhe ko ye KHushii hai ki merii baraat hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ve suurate.n ilaahii kis mulk bastiyaa.n hai.n
ab dekhne ko jin ke aa.nkhe.n tarastiyaa.n hai.n
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ve din ga.e ki aa.nkhe.n dariyaa sii bahtiyaa.n thii.n
suukhaa pa.Daa hai ab to muddat se ye do-aabaa
Meer Taqi Meer
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
hai.n anaasir kii ye suurat-baaziyaa.n
sho.abde kyaa kyaa hai.n un chaaro.n ke beach
Meer Taqi Meer
Sher
bastiyo.n me.n hone ko haadse bhii hote hai.n
pattharo.n kii zad par kuchh aa.ine bhii hote hai.n
Ghulam Rabbani Taban
Sher
sun bastiyo.n kaa haal jo had se guzar ga.ii.n
un ummato.n kaa zikr jo rasto.n me.n mar ga.ii.n