SEARCH RESULTS
Showing search results for "battii"
Sher MATCHES FOR "battii"
Sher
KHudaa ne baKHshaa hai kyaa zarf mom-battii ko
pighalte rahnaa magar saarii raat chup rahnaa
Khurshid Talab
Sher
u.nglii se us ke jism pe likkhaa usii kaa naam
phir battii band kar ke use Dhuu.nDtaa rahaa
Adil Mansuri
Sher
mai.n tire husn kaa shaidaa.ii nahii.n ho saktaa
roz baTtii hu.ii KHairaat se Dar lagtaa hai
Yasir Khan Inam
Sher
kisii kii bazm-e-tarab me.n hayaat baTtii thii
umiid-vaaro.n me.n kal maut bhii nazar aa.ii
Firaq Gorakhpuri
Sher
battii bujhaa ke hero heroine lipaT ga.e
qissa bahut hii phir to mazedaar ho gayaa
Mohammad Alvi
Sher
Ahmad Husain Mail
Sher
mai.n KHaanqaah-e-badan se udaas lauT aayaa
yahaa.n bhii chaahne vaalo.n me.n KHaak baTtii hai
Nomaan Shauque
Sher
bistar pe leTe leTe mirii aa.nkh lag ga.ii
ye kaun mere kamre kii battii bujhaa gayaa
Jayant Parmar
Sher
jin haatho.n se baTtii KHairaate.n dekhii thii.n
in aa.nkho.n se un haatho.n me.n kaase dekhe
Rashid Aazar
Sher
Allama Iqbal
Sher
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hai.n un ko
kyaa hu.aa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
gilaa bhii tujh se bahut hai magar mohabbat bhii
vo baat apnii jagah hai ye baat apnii jagah