SEARCH RESULTS
Showing search results for "bayaan-e-barq-e-tajallii"
Sher MATCHES FOR "bayaan-e-barq-e-tajallii"
Sher
girnii thii ham pe barq-e-tajallii na tuur par
dete hai.n baada zarf-e-qadah-KHvaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
taasiir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan me.n thii
ik larzish-e-KHafii mire saare badan me.n thii
Hasrat Mohani
Sher
Aftab Hussain
Sher
ye zor-e-barq-o-baad ye tuufaan al-amaa.n
mahruum ho na jaa.e.n kahii.n aashiyaa.n se ham
Mahesh Chandra Naqsh
Sher
S A Mehdi
Sher
'barq' uftaada vo huu.n saltanat-e-aalam me.n
taaj-e-sar ijz se naqsh-e-kaf-e-paa hotaa hai
Mirza Raza Barq
Sher
kyaa KHuub 'barq' tuu ne dikhaayaa hai zor-e-tab.a
kaaGaz pe rakh diyaa hai kalejaa nikaal ke
Munshi Ram Rakha Barq
Sher
mujhe tasliim hai qaid-e-qafas se maut behtar hai
nasheman par hujuum-e-barq-o-baaraa.n kaun dekhegaa
Anwar Sabri
Sher
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tuu vo nahii.n ki tujh ko tamaashaa kare ko.ii
Mirza Ghalib
Sher
bayaan-e-laGzish-e-aadam na kar ki vo fitna
mirii zamii.n se nahii.n tere aasmaa.n se uThaa
Sahba Akhtar
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
har ik jagah tirii barq-e-nigaah dau.D ga.ii
Garaz ye hai ki kisii chiiz ko qaraar na ho
Asghar Gondvi
Sher
kisii kii barq-e-nazar se na bijliyo.n se jale
kuchh is tarah kii ho ta.amiir aashiyaane kii
Anwar Taban
Sher
tum aur fareb khaa.o bayaan-e-raqiib se
tum se to kam gila hai ziyaada nasiib se
Agha Hashr Kashmiri
Sher
shah-zor apne zor me.n girtaa hai misl-e-barq
vo tifl kyaa giregaa jo ghuTno.n ke bal chale
Mirza Azeem Beg 'Azeem'
Sher
labo.n pe mauj-e-tabassum nigah me.n barq-e-Gazab
ko.ii bataa.e ye andaaz-e-barhamii kyaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
ai taab-e-barq tho.Dii sii takliif aur bhii
kuchh rah ga.e hai.n KHaar-o-KHas-e-aashiyaa.n hanuuz
Shefta Mustafa Khan
Sher
maqaam-e-barq jise aasmaa.n bhii kahte hai.n
iraada ab hai vahaa.n apnaa ghar banaane kaa