SEARCH RESULTS
Showing search results for "bazm-e-hastii"
Sher MATCHES FOR "bazm-e-hastii"
Sher
aa ke bazm-e-hastii me.n kyaa bataa.e.n kyaa paayaa
ham ko thaa hii kyaa lenaa but mile KHudaa paayaa
Natiq Gulavthi
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
Taufeeq Hyderabadi
Sher
saraapaa rehn-e-ishq-o-naa-guziir-e-ulfat-e-hastii
ibaadat barq kii kartaa huu.n aur afsos haasil kaa
Mirza Ghalib
Sher
logo.n ko apnii fikr hai lekin mujhe nadiim
bazm-e-hayaat-o-nazm-e-gulistaa.n kii fikr hai
Abdul Mateen Niyaz
Sher
ham ko pahchaan ki ai bazm-e-chaman-zaar-e-vajuud
ham na hote to tujhe kis ne sa.nvaaraa hotaa
Aslam Ansari
Sher
hamii.n pe KHatm hai me.aar-e-gulshan-e-hastii
hamaare baad na KHushbuu chaman se aa.egii
Moid Rahbar Lakhnavi
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
pii jaate hai.n zahr-e-Gam-e-hastii ho ki mai ho
ham saa bhii zamaane me.n balaa-nosh na hogaa
Anjum Rumani
Sher
mirii zindagii kaa mahvar yahii soz-o-saaz-e-hastii
kabhii jazb-e-vaalhaana kabhii zabt-e-aarifaana
Farooq Banspari
Sher
zahr zindagaanii kaa pii ke aql aa.ii hai
daaruu-e-Gam-e-hastii talKHii-e-subuu me.n hai
Jami Rudaulvi
Sher
ai tan-parast jaama-e-suurat kasiif hai
bazm-e-huzuur-e-dost me.n kap.De badal ke chal
Bayan Meeruthi
Sher
kis dard se raushan hai siyah-KHaana-e-hastii
suuraj nazar aataa hai hame.n raat ga.e bhii
Fuzail Jafri
Sher
bazm-e-husn-o-ishq me.n 'akbar' kii afsurda-dilii
daad ke laa.eq nahii.n be-daad ke qaabil nahii.n
Akbar Haideri Kashmiri
Sher
mai-KHaana-e-hastii kaa jab daur KHaraab aayaa
kulla.D me.n sharaab aa.ii patte pe kabaab aayaa
Unknown
Sher
kyaa KHuub tamaasha hai ye kaar-gah-e-hastii
har jism salaamat hai har zaat adhuurii hai