SEARCH RESULTS
Showing search results for "bazm-e-jaanaana"
Sher MATCHES FOR "bazm-e-jaanaana"
Sher
KHaaksaarii ke liye garche banaayaa thaa mujhe
kaash KHaak-e-dar-e-jaanaana banaayaa hotaa
Bahadur Shah Zafar
Sher
dil hai gar pyaar se sarshaar to mumkin hai 'habiib'
tuu jidhar jaa.e vo raah-e-dar-e-jaanaana bane
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
Habeeb Moosavi
Sher
ai jalva-e-jaanaana phir aisii jhalak dikhlaa
hasrat bhii rahe baaqii armaa.n bhii nikal jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
logo.n ko apnii fikr hai lekin mujhe nadiim
bazm-e-hayaat-o-nazm-e-gulistaa.n kii fikr hai
Abdul Mateen Niyaz
Sher
ham ko pahchaan ki ai bazm-e-chaman-zaar-e-vajuud
ham na hote to tujhe kis ne sa.nvaaraa hotaa
Aslam Ansari
Sher
ai tan-parast jaama-e-suurat kasiif hai
bazm-e-huzuur-e-dost me.n kap.De badal ke chal
Bayan Meeruthi
Sher
bazm-e-husn-o-ishq me.n 'akbar' kii afsurda-dilii
daad ke laa.eq nahii.n be-daad ke qaabil nahii.n
Akbar Haideri Kashmiri
Sher
aa.o ham ha.nste uThe.n bazm-e-dil-aazaaraa.n se
kaun ehsaas ko biimaar banaa kar uTThe
Kausar Jayasi
Sher
yaa unhe.n aatii nahii.n bazm-e-suKHan-aaraa.ii
yaa hame.n bazm ke aadaab nahii.n aate hai.n
Ramzi Asim
Sher
is qadar naaz na kiije ki buzurgo.n ne bahut
baarhaa bazm-e-KHud-aaraa.ii sajaa.ii hu.ii hai
Afeef Siraj
Sher
kyaa usii kaa naam hai ra.anaa.ii-e-bazm-e-hayaat
ta.ng kamra sard bistar aur tanhaa aadmii
Chandrabhan Khayal
Sher
ab dard me.n vo kaifiyat-e-dard nahii.n hai
aayaa huu.n jo us bazm-e-gul-afshaa.n se guzar ke
Ali Jawad Zaidi
Sher
ik maa.n ke dam se ziist me.n raunaq thii barqaraar
ab vo nahii.n to raunaq-e-bazm-e-jahaa.n nahii.n