SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-KHatar"
Sher MATCHES FOR "be-KHatar"
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
Wasif Dehlvi
Sher
diidaar kii talab ke tariiqo.n se be-KHabar
diidaar kii talab hai to pahle nigaah maa.ng
Azad Ansari
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
jo baa-KHabar the vo dete rahe fareb mujhe
tiraa pata jo milaa ek be-KHabar se milaa
Akhtar Muslimi
Sher
vo apne zo.am me.n thaa be-KHabar rahaa mujh se
use KHabar hii nahii.n mai.n nahii.n rahaa us kaa
Ahmad Faraz
Sher
har ik maqaam pe achchhii nahii.n hai baa-KHabarii
kahii.n kahii.n to zaruurii hai be-KHabar honaa
Akhtar Alam
Sher
sach puuchhiye to naala-e-bulbul hai be-KHataa
phuulo.n me.n saarii aag lagaa.ii sabaa kii hai
Jaleel Manikpuri
Sher
aalam se be-KHabar bhii huu.n aalam me.n bhii huu.n mai.n
saaqii ne is maqaam ko aasaa.n banaa diyaa
Asghar Gondvi
Sher
Naseer Turabi
Sher
aadaab-e-aashiqii se to ham be-KHabar na the
diivaane the zaruur magar is qadar na the
Figar Unnavi
Sher
vo terii nii.nd thii jo be-KHabar rahii shab bhar
vo mere KHvaab the jo baa-adab nikal aa.e
Moid Rasheedi
Sher
be-KHabar road pe in bhaagte bachcho.n ko mai.n
kitnii hasrat se thakan o.Dhe hu.e dekhtaa huu.n
Afzal Ali Afzal
Sher
'saudaa' jo be-KHabar hai vahii yaa.n kare hai aish
mushkil bahut hai un ko jo rakhte hai.n aagahii
Mohammad Rafi Sauda
Sher
kisii se ishq karnaa aur is ko baa-KHabar karnaa
hai apne matlab-e-dushvaar ko dushvaar-tar karnaa