SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-KHud"
Sher MATCHES FOR "be-KHud"
Sher
mai.n ek saa.at-e-be-KHud me.n chhuu gayaa thaa jise
phir us ko lafz tak aate hu.e zamaane lage
Abdul Ahad Saaz
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
be-KHud bhii hai.n hoshiyaar bhii hai.n dekhne vaale
in mast nigaaho.n kii adaa aur hii kuchh hai
Abul Kalam Azad
Sher
Momin Khan Momin
Sher
in buto.n ne mujh ko be-KHud kis qadar dhoke diye
siidhaa-saada jaan kar mard-e-musalmaa.n dekh kar
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
be-KHud-e-shauq huu.n aataa hai KHudaa yaad mujhe
raasta bhuul ke baiThaa huu.n sanam-KHaane kaa
Natiq Gulavthi
Sher
be-KHud aisaa kiyaa KHauf-e-shab-e-tanhaa.ii ne
subah se sham.a jalaa dii tire saudaa.ii ne
Manzar Lakhnavi
Sher
mil-milaa ke dono.n ne dil ko kar diyaa barbaad
husn ne kiyaa be-KHud ishq ne kiyaa aazaad
Sahir Dehlavi
Sher
Habeeb Moosavi
Sher
naale hai.n na aa.he.n hai.n na ronaa na ta.Dapnaa
be-KHud huu.n tirii yaad me.n fursat ke din aa.e
Aziz Hyderabadi
Sher
dekhaa jamaal-e-yaar to maKHmuur ho ga.e
be-KHud hai.n be-piye hii ye aisii sharaab hai
Meem Maroof Ashraf
Sher
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Sher
KHud-ba-KHud apnaa janaaza hai ravaa.n
ham ye kis ke Kushta-e-raftaar hai.n
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
saadgii o purkaarii be-KHudii o hushyaarii
husn ko taGaaful me.n jur.at-aazmaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
ai be-KHudii salaam tujhe teraa shukriya
duniyaa bhii mast mast hai uqbaa bhii mast mast