SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-aas"
Sher MATCHES FOR "be-aas"
Sher
log kahte hai.n ki bad-naamii se bachnaa chaahiye
kah do be is ke javaanii kaa mazaa miltaa nahii.n
Akbar Allahabadi
Sher
jo tire KHitta-e-be-aab kii KHvaahish na banaa
kulbulaataa hai vo dariyaa kisii kohsaar me.n gum
Saeed Ahmad
Sher
kaa.nTe se bhii nicho.D lii Gairo.n ne buu-e-gul
yaaro.n ne buu-e-gul se bhii kaa.nTaa banaa diyaa
Aslam Kolsarii
Sher
kabhii na KHaalii milaa buu-e-ham-nafas se dimaaG
tamaam baaG me.n jaise ko.ii chhupaa hu.aa hai
Abul Hasanat Haqqi
Sher
gher letii hai ko.ii zulf, ko.ii buu-e-badan
jaan kar ko.ii giraftaar nahii.n hotaa yaar
Iftikhar Mughal
Sher
buu-e-iqraar bhii aatii ho jo inkaar ke saath
aise inkaar pasandiida hai.n iqraar ke saath
Unknown
Sher
hamaare aib ne be-aib kar diyaa ham ko
yahii hunar hai ki ko.ii hunar nahii.n aataa
Mirza Raza Barq
Sher
baa-ii.n-hama darmaandagii insaa.n ke ye da.ave
kyaa zaat-e-shariif in ko banaayaa hai KHudaa ne
Ismail Merathi
Sher
u.D jaa.uu.ngaa bahaar me.n maanind-e-buu-e-gul
zanjiir mere paa-e-junuu.n me.n hazaar Daal
Raunaq Tonkvi
Sher
chhupaa na raaz mohabbat kaa buu-e-gul kii tarah
jo baat dil me.n thii vo darmiyaa.n nikal aa.ii
Jaleel Manikpuri
Sher
bikhar gayaa huu.n fazaa.o.n me.n buu-e-gul kii tarah
mire vajuud me.n vus.at mirii samaa na sakii
Raza Hamdani
Sher
ai nasiim-e-saharii buu-e-mohabbat le aa
turra-e-yaar satii itr kii mahkaar kuu.n khol
Siraj Aurangabadi
Sher
us gul-badan kii buu-e-badan kuchh na puuchhiye
band-e-qabaa jo khol diye ghar mahak gayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Saqib Lakhnavi
Sher
tuu buu-e-gul hai aur pareshaa.n hu.aa huu.n mai.n
dono.n me.n ek rishta-e-aavaargii to hai
Obaidullah Aleem
Sher
ashko.n me.n ra.ng-o-buu-e-chaman duur tak mile
jis dam asiir ho ke chale gulsitaa.n se ham