SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-abr"
Sher MATCHES FOR "be-abr"
Sher
be-abr ri.nd piite nahii.n vaa.izo sharaab
karte hai.n ye gunaah bhii rahmat ke zor par
Riyaz Khairabadi
Sher
jo tire KHitta-e-be-aab kii KHvaahish na banaa
kulbulaataa hai vo dariyaa kisii kohsaar me.n gum
Saeed Ahmad
Sher
mahfil me.n terii aa ke yuu.n be-aabruu hu.e
pahle the aap aap se tum tum se tuu hu.e
Nooh Narvi
Sher
tiirgii be-aabruu thii aur tajallii be-vaqaar
ik thakaa-haaraa saa jugnuu kis qadar dil-giir thaa
Wazir Agha
Sher
hamaare aib ne be-aib kar diyaa ham ko
yahii hunar hai ki ko.ii hunar nahii.n aataa
Mirza Raza Barq
Sher
ek umr se tujhe mai.n be-uzr pii rahaa huu.n
tuu bhii to pyaas merii ai jaam pii liyaa kar
Alok Yadav
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
be-uzr vo kar lete hai.n va.ada ye samajh kar
ye ahl-e-muravvat hai.n taqaazaa na kare.nge
Shefta Mustafa Khan
Sher
kyuu.n haath dil se lagaate ho baar baar apnaa
kyaa dil me.n ab bhii ko.ii be-naziir rahtaa hai
Anis Abr
Sher
Meer Mohammadi Bedar
Sher
Abr Ahsani Ganauri
Sher
yuu.n pukaare hai.n mujhe kuucha-e-jaanaa.n vaale
idhar aa be abe o chaak-garebaa.n vaale
Munshi Anwar Husain Tasleem
Sher
chup-chaap apnii aag me.n jalte raho 'faraaz'
duniyaa to arz-e-haal se be-aabruu kare
Ahmad Faraz
Sher
kal shaam parindo.n ko u.Dte hu.e yuu.n dekhaa
be-aab samundar me.n jaise ho ravaa.n paanii
Anwar Sadeed
Sher
har dam pukaarte ho kinaa.e se kyaa miyaa.n
jaa.o jii baiTho o-be hamaaraa laqab nahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
nikalnaa KHuld se aadam kaa sunte aa.e hai.n lekin
bahut be-aabruu ho kar tire kuuche se ham nikle
Mirza Ghalib
Sher
qaul 'aabruu' kaa thaa ki na jaa.uu.ngaa us galii
ho kar ke be-qaraar dekho aaj phir gayaa