SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-badan"
Sher MATCHES FOR "be-badan"
Sher
be-badan ruuh bane phirte rahoge kab tak
jaa.o chupke se kisii jism me.n daaKHil ho jaa.o
Farhat Ehsas
Sher
ai jamaal-e-be-badal lekin adaa me.n be-ruKHii
ho ga.ii.n sadiyaa.n ki chashm-e-tishna terii muntazir
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
gher letii hai ko.ii zulf, ko.ii buu-e-badan
jaan kar ko.ii giraftaar nahii.n hotaa yaar
Iftikhar Mughal
Sher
us gul-badan kii buu-e-badan kuchh na puuchhiye
band-e-qabaa jo khol diye ghar mahak gayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
ik zamaane tak badan be-KHvaab be-aadaab the
phir achaanak apnii uryaanii kaa andaaza hu.aa
Shaheen Abbas
Sher
ye aa.nkhe.n ye dimaaG ye zaKHmo.n kaa ghar badan
sab mahv-e-KHvaab hai.n dil-e-be-taab ke sivaa
Obaidullah Siddiqui
Sher
vo saaf-go hai magar baat kaa hunar siikhe
badan hasii.n hai to kyaa be-libaas aa.egaa
Amardeep Singh
Sher
ye shaa.irii kaa takalluf badan pe achchhaa libaas
sab iltizaam usii ek be-vafaa ke liye
Ahsan Gulfam
Sher
phir is ke baad mirii raat be-misaal hu.ii
udhar vo shola-badan thaa idhar mai.n paanii thaa
Khalid Karrar
Sher
us be-KHabar kii nii.nd kaa 'aalam na puuchhiye
takiya kahii.n hai zulf kahii.n aur kahii.n badan
Ali Asar Bandvi
Sher
dil de na de magar ye tiraa husn-e-be-misaal
vaapas na kar faqiir ko aaKHir badan to hai
Nomaan Shauque
Sher
bahaar dard bharaa iqtibaas chho.D ga.ii
har ik shajar kaa badan be-libaas chho.D ga.ii
Tauqeer Abbas
Sher
safar na ho to ye lutf-e-safar hai be-ma.anii
badan na ho to bhalaa kyaa qabaa me.n rakkhaa hai
Krishna Kumar Toor
Sher
pahnaa de chaa.ndnii ko qabaa apne jism kii
us kaa badan bhii terii tarah be-libaas ho
Wazir Agha
Sher
aastii.n us ne jo kuhnii tak cha.Dhaa.ii vaqt-e-sub.h
aa rahii saare badan kii be-hijaabii haath me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHaak-e-aaGushta-ba-KHuu.n ko mirii be-qadr na jaan
gul-badan saare ise karte hai.n ubTab apnaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vo chiiz jis ke liye ham ko ho bahisht aziiz
sivaa.e baada-e-gulfaam-e-mushk-buu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
rusvaa hu.e zaliil hu.e dar-ba-dar hu.e
haq baat lab pe aa.ii to ham be-hunar hu.e