SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-jaam"
Sher MATCHES FOR "be-jaam"
Sher
kirdaar us ko Dhuu.nDte phirte hai.n jaa-ba-jaa
gum aa ke ho ga.ii hai kahaanii mirii taraf
Zafar Iqbal
Sher
muflisii ne jaa-ba-jaa luuTaa hame.n
ab bachaa kuchh bhii nahii.n luTvaa.e.n kyaa
Babar Rehman Shah
Sher
tum is raste me.n kyuu.n baaruud bo.e jaa rahe ho
kisii din is taraf se KHud guzarnaa pa.D gayaa to
Asim Wasti
Sher
Shah Naseer
Sher
charchaa hamaaraa ishq ne kyuu.n jaa-ba-jaa kiyaa
dil us ko de diyaa to bhalaa kyaa buraa kiyaa
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
Sher
ham ne dikhaa dikhaa tirii tasviir jaa-ba-jaa
har ik ko apnii jaan kaa dushman banaa liyaa
Captain Alexander Hederly Azad
Sher
Neel Ahmed
Sher
Bahram ji
Sher
diivaar-o-dar pe KHuun ke chhii.nTe hai.n jaa-ba-jaa
bikhraa hu.aa hai ra.ng-e-hinaa tere shahar me.n
Kaif Azimabadi
Sher
ulajhte rahte ho be-jaan manzar me.n kisii se
hazaaro.n saal kii pahchaan pal-bhar me.n kisii se
Nomaan Shauque
Sher
paanii nikal ke dasht me.n jaarii hai jaa-ba-jaa
yaa-rab gayaa hai kaun ye sar par u.Daa ke KHaak
Zain-ul-Abideen Khan Arif
Sher
zamaana saKHt kam-aazaar hai ba-jaan-e-asad
vagarna ham to tavaqqo zyaada rakhte hai.n
Mirza Ghalib
Sher
na sikandar hai na daaraa hai na qaisar hai na jam
be-mahal KHaak me.n hai.n qasr banaane vaale
Mirza Raza Barq
Sher
vo mile to be-takalluf na mile to be-iraada
na tariiq-e-aashnaa.ii na rusuum-e-jaam-o-baadaa