SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-nam"
Sher MATCHES FOR "be-nam"
Sher
be-naam saa ye dard Thahar kyuu.n nahii.n jaataa
jo biit gayaa hai vo guzar kyuu.n nahii.n jaataa
Nida Fazli
Sher
be-naam masaafat hii muqaddar hai to kyaa Gam
manzil kaa ta.ayyun kabhii hotaa hai safar se
Parveen Shakir
Sher
ek be-naam udaasii se bharaa baiThaa huu.n
aaj dil khol ke rone kii zaruurat hai mujhe
Anjum Saleemi
Sher
be-naam se ik KHauf se dil kyuu.n hai pareshaa.n
jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahii.n hogaa
Shahryar
Sher
vahii be-vaj.h udaasii vahii be-naam KHalish
raah-o-rasm-e-dil-e-naakaam se jii Dartaa hai
Javed Kamal Rampuri
Sher
sab chale jaa.e.nge ik be-naam manzil kii taraf
ghar kii taKHtii kii jagah katbe lage rah jaa.e.nge
Tasneem Abidi
Sher
Zulfeqar Ahmad Tabish
Sher
kuchh ajnabii rasto.n se charaaGo.n kii thakan kaa
be-naam saa rishta hai to be-naam hii rah jaa.e
Moid Rasheedi
Sher
naavak-e-zulm uThaa dashna-e-andoh sambhaal
lutf ke KHanjar-e-be-naam se mat maar mujhe
Mustafa Zaidi
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
tuu phuul kii maanind na shabnam kii tarah aa
ab ke kisii be-naam se mausam kii tarah aa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
gintiyo.n me.n hii gine jaate hai.n har daur me.n ham
har qalamkaar kii be-naam KHabar ke ham hai.n
Nida Fazli
Sher
mujh se to ko.ii taaj-mahal bhii na ban sakaa
be-naam dil kii qabr me.n dafnaa diyaa tujhe
Latif Shah Shahid
Sher
Moid Rasheedi
Sher
ba-naam-e-ishq ik ehsaan saa abhii tak hai
vo saada-lauh hame.n chaahtaa abhii tak hai
Shahram Sarmadi
Sher
ba-naam-e-amn-o-amaa.n kaun maaraa jaa.egaa
na jaane aaj yahaa.n kaun maaraa jaa.egaa