SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-shaama"
Sher MATCHES FOR "be-shaama"
Sher
kaisaa ye din hai jo nahii.n laataa hai ruu-ba-shaam
kaisii ye shab hai jis kii sahar naa-padiid hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sham.a ke maanind ahl-e-anjuman se be-niyaaz
aksar apnii aag me.n chup chaap jal jaate hai.n log
Himayat Ali Shayar
Sher
maanind-e-shama.a-majlis shab ashk-baar paayaa
al-qissa 'miir' ko ham be-iKHtiyaar paayaa
Meer Taqi Meer
Sher
be-daaro.n kii duniyaa kabhii luTtii nahii.n 'dauraa.n'
ik sham.a liye tum bhii yahaa.n jaagte rahnaa
Owais Ahmad Dauran
Sher
rone vaale hu.e chup hijr kii duniyaa badlii
sham.a be-nuur hu.ii sub.h kaa taaraa niklaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
be-KHud aisaa kiyaa KHauf-e-shab-e-tanhaa.ii ne
subah se sham.a jalaa dii tire saudaa.ii ne
Manzar Lakhnavi
Sher
mahfil ke biich sun ke mire soz-e-dil kaa haal
be-iKHtiyaar sham.a ke aa.nsuu Dhalak pa.De
Taban Abdul Hai
Sher
ham ruu-ba-ruu-e-sham.a hai.n is intizaar me.n
kuchh jaa.n paro.n me.n aa.e to u.D kar nisaar ho.n
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
Taufeeq Hyderabadi
Sher
kal shaam parindo.n ko u.Dte hu.e yuu.n dekhaa
be-aab samundar me.n jaise ho ravaa.n paanii
Anwar Sadeed
Sher
Mohammad Taha Khan
Sher
taa-sub.h merii laash rahii be-kafan to kyaa
baanuu-e-shaam nauha-kunaa.n hii nahii.n hu.ii
Siraj Ajmali
Sher
ba-vaqt-e-shaam samundar me.n gir gayaa suuraj
tamaam din kii thakan se niDhaal aisaa thaa
Azhar Naiyyar
Sher
be-zabaa.n bhii to bataa detaa hai manzil kaa pataa
tai karaataa hai safar miil kaa patthar KHaamosh
Shams Ramzi
Sher
baad-e-shaam aa.e mahak uTThe miraa sahn riyaaz
be-mahak jhaa.Diyo.n se raat kii raanii nikle
Riaz Majeed
Sher
dekhaa jo mujh ko pher ke mu.nh muskuraa diye
bijlii girii ta.Dap ke dil-e-be-qaraar par
Mohammad Baqar Shams
Sher
dil kii be-taabii Thaharne nahii.n detii mujh ko
din kahii.n raat kahii.n sub.h kahii.n shaam kahii.n