SEARCH RESULTS
Showing search results for "beKHud-e-badnaam"
Sher MATCHES FOR "beKHud-e-badnaam"
Sher
meraa har sher hai ik raaz-e-haqiiqat 'beKHud'
mai.n huu.n urdu kaa 'naziirii' mujhe tuu kyaa samjhaa
Bekhud Dehlvi
Sher
'beKHud' to mar miTe jo kahaa us ne naaz se
ik sher aa gayaa hai hame.n aap kaa pasand
Bekhud Dehlvi
Sher
Bekhud Dehlvi
Sher
milaa ke KHaak me.n sarmaaya-e-dil-e-'beKHud'
vo puuchhte hai.n bataa.o ye maal kis kaa thaa
Bekhud Dehlvi
Sher
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
in buto.n ne mujh ko be-KHud kis qadar dhoke diye
siidhaa-saada jaan kar mard-e-musalmaa.n dekh kar
Abbas Ali Khan Bekhud
Sher
log mujh ko mire aaha.ng se pahchaan ga.e
kaun badnaam rahaa shahr-e-suKHan me.n aisaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
jahaa.n me.n ho ga.ii naa-haq tirii jafaa badnaam
kuchh ahl-e-shauq ko daar-o-rasan se pyaar bhii hai
Aale Ahmad Suroor
Sher
be-KHud-e-shauq huu.n aataa hai KHudaa yaad mujhe
raasta bhuul ke baiThaa huu.n sanam-KHaane kaa
Natiq Gulavthi
Sher
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Sher
shikva sun kar jo mizaaj-e-but-e-bad-KHuu badlaa
ham ne bhii saath hii taqriir kaa pahluu badlaa
Bekhud Badayuni
Sher
saadgii o purkaarii be-KHudii o hushyaarii
husn ko taGaaful me.n jur.at-aazmaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
jaise bijlii ke chamakne se kisuu kii sudh jaa.e
be-KHudii aa.ii achaanak tire aa jaane se
Meer Taqi Meer
Sher
ham be-KHudaan-e-mahfil-e-tasviir ab ga.e
aa.inda ham se aap me.n aayaa na jaa.egaa
Meer Taqi Meer
Sher
Mirza Daood Beg
Sher
ai be-KHudi-e-dil mujhe ye bhii KHabar nahii.n
kis din bahaar aa.ii mai.n diivaana kab hu.aa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
na rahii be-KHudi-e-shauq me.n itnii bhii KHabar
hijr achchhaa hai ki 'mahruum' visaal achchhaa hai