SEARCH RESULTS
Showing search results for "bedil"
Sher MATCHES FOR "bedil"
Sher
ham tum me.n kal duurii bhii ho saktii hai
vaj.h ko.ii majbuurii bhii ho saktii hai
Bedil Haidri
Sher
bhuuk chehro.n pe liye chaa.nd se pyaare bachche
bechte phirte hai.n galiyo.n me.n Gubaare bachche
Bedil Haidri
Sher
garmii lagii to KHud se alag ho ke so ga.e
sardii lagii to KHud ko dobaara pahan liyaa
Bedil Haidri
Sher
behtar to hai yahii ki na duniyaa se dil lage
par kyaa kare.n jo kaam na be-dil-lagii chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
KHol chehro.n pe cha.Dhaane nahii.n aate ham ko
gaa.nv ke log hai.n ham shahr me.n kam aate hai.n
Bedil Haidri
Sher
marne ke baa'd KHud hii bikhar jaa.uu.ngaa kahii.n
ab qabr kyaa banegii agar ghar nahii.n banaa
Bedil Haidri
Sher
Bedil Haidri
Sher
ho gayaa charKH-e-sitamgar kaa kaleja ThanDaa
mar ga.e pyaas se dariyaa ke kinaare bachche
Bedil Haidri
Sher
aql kahtii hai na jaa kuucha-e-qaatil kii taraf
sarfaroshii kii havas kahtii hai chal kyaa hogaa
Bedil Azimabadi
Sher
Wali Uzlat
Sher
Bedil Jaunpuri
Sher
ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham
Thukraa na de.n jahaa.n ko kahii.n be-dilii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
ham un ke sitam ko bhii karam jaan rahe hai.n
aur vo hai.n ki is par bhii buraa maan rahe hai.n