SEARCH RESULTS
Showing search results for "beg"
Sher MATCHES FOR "beg"
Sher
shah-zor apne zor me.n girtaa hai misl-e-barq
vo tifl kyaa giregaa jo ghuTno.n ke bal chale
Mirza Azeem Beg 'Azeem'
Sher
beTe ko cheque samajh liyaa state-bank kaa
samdhii talaash karne lage high rank kaa
Mustafa Ali Beg
Sher
hai KHushii apnii vahii jo kuchh KHushii hai aap kii
hai vahii manzuur jo kuchh aap ko manzuur ho
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
KHud rahm kiijiye dil-e-ummiid-vaar par
aaphii nikaaliye ko.ii suurat nibaah kii
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
naadaan kah rahe hai.n jise aaftaab-e-hashr
zarra hai us ke ruu-e-daraKHshaa.n ke saamne
Rajab Ali Beg Suroor
Sher
yuu.n intizaar-e-yaar me.n ham umr bhar rahe
jaise nazar Gariib kii allaah par rahe
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
bosa jo maa.ngaa bazm me.n farmaayaa yaar ne
ye din dahaa.De aa.e hai.n pag.Dii utaarne
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
mujh saa aashiq aap saa ma.ashuuq tab hove nasiib
jab KHudaa ik duusraa arz-o-samaa paidaa kare
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
ab hai du.aa ye apnii har shaam har sahar ko
yaa vo badan se lipTe yaa jaan tan se nikle
Rajab Ali Beg Suroor
Sher
jise zauq-e-baada-parastii nahii.n hai
mire saamne us kii hastii nahii.n hai
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
duniyaa kaa maal muft me.n chakhne ke vaaste
haath aayaa KHuub shaiKH ko hiila namaaz kaa
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
umiid hai hame.n fardaa ho yaa pas-e-fardaa
zaruur ho.egii sohbat vo yaar baaqii hai