SEARCH RESULTS
Showing search results for "betaabi"
Sher MATCHES FOR "betaabi"
Sher
tujh ko paa kar bhii na kam ho sakii be-taabii-e-dil
itnaa aasaan tire ishq kaa Gam thaa hii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
Jalal Lakhnavi
Sher
dekh le bulbul o parvaana kii betaabii ko
hijr achchhaa na hasiino.n kaa visaal achchhaa hai
Ameer Minai
Sher
dil kii be-taabii Thaharne nahii.n detii mujh ko
din kahii.n raat kahii.n sub.h kahii.n shaam kahii.n
Nazeer Akbarabadi
Sher
taa-falak le ga.ii betaabi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahlaa hai ye ziinaa apnaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
vo KHalish jis se thaa ha.ngaama-e-hastii barpaa
vaqf-e-betaabii-e-KHaamosh hu.ii jaatii hai
Jigar Moradabadi
Sher
Iqbal Sohail
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
merii betaabii kii mushkil aap aasaa.n ho ga.ii
ba.Dh gayaa dard-e-dil-e-betaab to kam ho gayaa
Unknown
Sher
betaabii-e-hayaat me.n aasuudgii bhii thii
kuchh teraa Gam bhii thaa Gam-e-dauraa.n ke saath saath
Azeem Murtaza
Sher
betaabii-e-iz.haar ne yuu.n KHaak kiyaa hai
duzdiida-nigaahii ne mujhe chaak kiyaa hai
Farhat Abbas
Sher
baat big.De ki bane ye mirii be-taabii-e-shauq
terii aavaaz se aavaaz milaa detii hai
Ijtiba Rizvi
Sher
barq o siimaab kaa 'aaGaa' na rahe naam-o-nishaa.n
dil kii betaabii se ik baar jo muztar mai.n huu.n
Aagha Akbarabadi
Sher
aap pahluu me.n jo baiThe.n to sambhal kar baiThe.n
dil-e-betaab ko aadat hai machal jaane kii
Jaleel Manikpuri
Sher
ishq kaa zauq-e-nazaara muft me.n badnaam hai
husn KHud be-taab hai jalva dikhaane ke liye
Asrarul Haq Majaz
Sher
haath rakh kar jo vo puuchhe dil-e-betaab kaa haal
ho bhii aaraam to kah duu.n mujhe aaraam nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
gar zindagii me.n mil ga.e phir ittifaaq se
puuchhe.nge apnaa haal tirii bebasii se ham