SEARCH RESULTS
Showing search results for "bhaat"
Sher MATCHES FOR "bhaat"
Sher
ye ham jo peT se hii sochte hai.n shaam o sahar
kabhii to jaa.e.nge is daal-bhaat se aage
Zafar Iqbal
Sher
apnii anaa kii aaj bhii taskiin ham ne kii
jii bhar ke us ke husn kii tauhiin ham ne kii
Iqbal Sajid
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
gilaa bhii tujh se bahut hai magar mohabbat bhii
vo baat apnii jagah hai ye baat apnii jagah
Basir Sultan Kazmi
Sher
ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hai.n un ko
kyaa hu.aa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
vafaa kare.nge nibaahe.nge baat maane.nge
tumhe.n bhii yaad hai kuchh ye kalaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke
Farhat Ehsas
Sher
Ibn e Insha
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kabhii KHud pe kabhii haalaat pe ronaa aayaa
baat niklii to har ik baat pe ronaa aayaa
Sahir Ludhianvi
Sher
aavaaz de ke dekh lo shaayad vo mil hii jaa.e
varna ye umr bhar kaa safar raa.egaa.n to hai