SEARCH RESULTS
Showing search results for "bhare"
Sher MATCHES FOR "bhare"
Sher
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
bhare makaa.n kaa bhii apnaa nasha hai kyaa jaane
sharaab-KHaane me.n raate.n guzaarne vaalaa
Waseem Barelvi
Sher
Waseem Barelvi
Sher
vo vaqt aur the ki buzurgo.n kii qadr thii
ab ek buu.Dhaa baap bhare ghar pe baar hai
Moin Shadab
Sher
kyuu.n tire dard ko de.n tohmat-e-viiraanii-e-dil
zalzalo.n me.n to bhare shahr uja.D jaate hai.n
Mohsin Naqvi
Sher
surKHii shafaq kii zard ho gaalo.n ke saamne
paanii bhare ghaTaa tire baalo.n ke saamne
Muneer Shikohabadi
Sher
bhare hai.n raat ke reze kuchh aise aa.nkho.n me.n
ujaalaa ho to ham aa.nkhe.n jhapakte rahte hai.n
Gulzar
Sher
bhare baazaar me.n baiThaa huu.n liye jins-e-vajuud
shart ye hai ki mirii KHaak kii qiimat dii jaa.e
Salim Saleem
Sher
Rajinder Manchanda Bani
Sher
bas ek apne hii qadmo.n kii chaap suntaa huu.n
mai.n kaun huu.n ki bhare shahr me.n bhii tanhaa huu.n
Mahmood Shaam
Sher
sabz pe.Do.n ko pata tak nahii.n chaltaa shaayad
zard patte bhare manzar se nikal jaate hai.n
Tauqeer Taqi
Sher
ye intizaar kii gha.Diyaa.n ye shab kaa sannaaTaa
is ek shab me.n bhare hai.n hazaar saal ke din
Qamar Siddiqi
Sher
is bhare shahr me.n din raat Thaharte hii nahii.n
kaun yaado.n ke safar-naame ko tahriir kare
Khaleel Tanveer
Sher
dil rahe yaa na rahe zaKHm bhare yaa na bhare
chaarasaazo.n kii KHushaamad mujhe manzuur nahii.n
Natiq Lakhnavi
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
bhare ho.n aa.nkh me.n aa.nsuu KHamiida gardan ho
to KHaamushii ko bhii iz.haar-e-mudda.aa kahiye