SEARCH RESULTS
Showing search results for "bhuul-chuuk"
Sher MATCHES FOR "bhuul-chuuk"
Sher
mai.n KHud ko bhuul chukaa thaa magar jahaa.n vaale
udaas chho.D ga.e aa.iina dikhaa ke mujhe
Ahmad Faraz
Sher
vo mujh ko bhuul chukaa ab yaqiin hai varna
vafaa nahii.n to jafaa.o.n kaa silsila rakhtaa
Iffat Zarrin
Sher
bhulaa chuke hai.n zamiin o zamaa.n ke sab qisse
suKHan-taraaz hai.n lekin KHalaa me.n rahte hai.n
Akhtar Ziai
Sher
tum bhuul kar bhii yaad nahii.n karte ho kabhii
ham to tumhaarii yaad me.n sab kuchh bhulaa chuke
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
tiraa javaab mire kaam kaa nahii.n hai ab
ki mai.n to bhuul chukaa huu.n savaal vaise hii
Zubair Qaisar
Sher
der lagtii hai bahut lauT ke aate aate
aur vo itne me.n hame.n bhuul chukaa hotaa hai
Azhar Adeeb
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Musavvir Sabzwari
Sher
'nabiil' aisaa karo tum bhii bhuul jaa.o use
vo shaKHs apnii har ik baat se mukar chukaa hai
Aziz Nabeel
Sher
din bhar kii mashaqqat se badan chuur hai lekin
maa.n ne mujhe dekhaa to thakan bhuul ga.ii hai