SEARCH RESULTS
Showing search results for "biim"
Sher MATCHES FOR "biim"
Sher
umiid-o-biim ke mehvar se haT ke dekhte hai.n
zaraa sii der ko duniyaa se kaT ke dekhte hai.n
Iftikhar Arif
Sher
umiid-o-biim ne maaraa mujhe do-raahe par
kahaa.n ke dair o haram ghar kaa raastaa na milaa
Unknown
Sher
umiid-o-biim ne maaraa mujhe doraahe par
kahaa.n ke dair-o-haram ghar kaa raasta na milaa
Yagana Changezi
Sher
har dha.Dakte patthar ko log dil samajhte hai.n
umre.n biit jaatii hai.n dil ko dil banaane me.n
Bashir Badr
Sher
ab udaas phirte ho sardiyo.n kii shaamo.n me.n
is tarah to hotaa hai is tarah ke kaamo.n me.n
Shoaib Bin Aziz
Sher
be-naam saa ye dard Thahar kyuu.n nahii.n jaataa
jo biit gayaa hai vo guzar kyuu.n nahii.n jaataa
Nida Fazli
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
kisii ra.iis kii mahfil kaa zikr hii kyaa hai
KHudaa ke ghar bhii na jaa.e.nge bin bulaa.e hu.e
Ameer Minai
Sher
roz milne pe bhii lagtaa thaa ki jug biit ga.e
ishq me.n vaqt kaa ehsaas nahii.n rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Sher
dasht-e-tanhaa.ii me.n jiine kaa saliiqa siikhiye
ye shikasta baam-o-dar bhii ham-safar ho jaa.e.nge
Fuzail Jafri
Sher
be-KHatar kuud pa.Daa aatish-e-namruud me.n ishq
aql hai mahv-e-tamaashaa-e-lab-e-baam abhii
Allama Iqbal
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
mire labo.n kaa tabassum to sab ne dekh liyaa
jo dil pe biit rahii hai vo ko.ii kyaa jaane