SEARCH RESULTS
Showing search results for "bikharne"
Sher MATCHES FOR "bikharne"
Sher
aks-e-KHushbuu huu.n bikharne se na roke ko.ii
aur bikhar jaa.uu.n to mujh ko na sameTe ko.ii
Parveen Shakir
Sher
jam.a karte rahe jo apne ko zarra zarra
vo ye kyaa jaane.n bikharne me.n sukuu.n kitnaa hai
Shahryar
Sher
lamha lamha roz sa.nvarne vaalaa tuu
lamha lamha lamha roz bikharne vaalaa mai.n
Javed Akram Farooqi
Sher
jam.a kartii hai mujhe raat bahut mushkil se
sub.h ko ghar se nikalte hii bikharne ke liye
Javed Shaheen
Sher
Ajmal Siddiqui
Sher
ai gardish-e-ayyaam hame.n ranj bahut hai
kuchh KHvaab the aaise ki bikharne ke nahii.n the
Zakariya Shaz
Sher
shukr hai baa.ndh liyaa apne khule baalo.n ko
us ne shiiraaza-e-aalam ko bikharne na diyaa
Jaleel Manikpuri
Sher
Amjad Islam Amjad
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
yaaro huduud-e-Gam se guzarne lagaa huu.n mai.n
mujh ko sameT lo ki bikharne lagaa huu.n mai.n
Faragh Rohvi
Sher
sameT lo mujhe apnii sadaa ke halqo.n me.n
mai.n KHaamushii kii havaa se bikharne vaalaa huu.n
Azad Gulati
Sher
simTe hu.e jazbo.n ko bikharne nahii.n detaa
ye aas kaa lamha hame.n marne nahii.n detaa
Zaki Tariq
Sher
ab mai.n huu.n mirii jaagtii raate.n hai.n KHudaa hai
yaa TuuTte patto.n ke bikharne kii sadaa hai
Nazeer Ahmad Naji
Sher
Naseem Sahar
Sher
Shahnawaz Farooqi
Sher
ai vahshat-e-sahraa mire qadmo.n se lipaT jaa
ab is se ziyaada to bikharne se rahaa mai.n
Moid Rasheedi
Sher
ek shiishe ke muqaabil the hazaaro.n patthar
TuuT kar mere bikharne kii kahaanii hai yahii
Imtiyaz Ahmad Qamar
Sher
vo to KHush-buu hai havaa.o.n me.n bikhar jaa.egaa
mas.ala phuul kaa hai phuul kidhar jaa.egaa