SEARCH RESULTS
Showing search results for "bikte"
Sher MATCHES FOR "bikte"
Sher
jamhuuriyat ik tarz-e-hukuumat hai ki jis me.n
gho.Do.n kii tarah bikte hai.n insaan vaGaira
Anwar Masood
Sher
kuchh log KHayaalo.n se chale jaa.e.n to so.e.n
biite hu.e din raat na yaad aa.e.n to so.e.n
Habib Jalib
Sher
daad-o-tahsiin kii bolii nahii.n tafhiim kaa naqd
shart kuchh to mire bikne kii munaasib Thahre
Abdul Ahad Saaz
Sher
mai.n 'zafar' taa-zindagii biktaa rahaa pardes me.n
apnii ghar-vaalii ko ik ka.ngan dilaane ke liye
Zafar Gorakhpuri
Sher
dard biktaa nahii.n baazaar-e-jahaa.n me.n varna
jaan tak bech ke letaa mai.n tire dil ke liye
Jaleel Manikpuri
Sher
Khalilur Rahman Azmi
Sher
Shahid Zaki
Sher
inkaar kar rahaa huu.n to qiimat buland hai
bikne pe aa gayaa to giraa de.nge daam log
Nafas Ambalvi
Sher
biktaa to nahii.n huu.n na mire daam bahut hai.n
raste me.n pa.Daa huu.n ki uThaa ko.ii aa kar
Adeem Hashmi
Sher
chand saa.nso.n ke liye biktii nahii.n KHuddaarii
zindagii haath pe rakkhii hai uThaa kar le jaa
Kanval Ziai
Sher
mujh se puuchho kabhii takmiil na hone kii chubhan
mujh pe biite hai.n ka.ii saal december ke baGair
Mohammad Ali Zahir
Sher
biktaa rahtaa sar-e-baazaar ka.ii qisto.n me.n
shukr hai mere KHudaa ne mujhe shohrat nahii.n dii
Ahmad Ashfaq
Sher
vo tere bichha.Dne kaa samaa.n yaad jab aayaa
biite hu.e lamho.n ko sisakte hu.e dekhaa
Ishrat Qadri
Sher
tezii se biit.te hu.e lamho.n ke saath saath
jiine kaa ik azaab liye bhaagte rahe
Aashufta Changezi
Sher
biite hu.e lamhaat ko pahchaan me.n rakhnaa
murjhaa.e hu.e phuul bhii gul-daan me.n rakhnaa
Anjum Khaleeq
Sher
alfaaz madah-KHvaa.n the qalam the bike hu.e
kaise taraash lete ko.ii shaah-kaar ham