SEARCH RESULTS
Showing search results for "bilkul"
Sher MATCHES FOR "bilkul"
Sher
mujh se mat bolo mai.n aaj bharaa baiThaa huu.n
cigarette ke dono.n paikeT bilkul KHaalii hai.n
Muzaffar Hanfi
Sher
dekh kar us ko lagaa jaise kahii.n ho dekhaa
yaad bilkul nahii.n aayaa mujhe ghanTo.n sochaa
Aftab Shamsi
Sher
ham jaiso.n ne jaan ga.nvaa.ii paagal the
duniyaa jaisii kal thii bilkul vaisii hai
Nomaan Shauque
Sher
zindagii bhar zinda rahne kii yahii tarkiib hai
us taraf jaanaa nahii.n bilkul jidhar kii sochnaa
Shuja Khaavar
Sher
baar-haa KHud pe mai.n hairaan bahut hotaa huu.n
ko.ii hai mujh me.n jo bilkul hii judaa hai mujh se
Manmohan Talkh
Sher
mai.n bas ye kah rahaa huu.n rasm-e-vafaa jahaa.n me.n
bilkul nahii.n miTii hai kamyaab ho ga.ii hai
Obaid Siddiqi
Sher
ho gayaa mauquuf ye 'saudaa' kaa bilkul ehtiraaq
laala be-daaG-e-siyah paane lagaa nashv-o-numaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Aziz Faisal
Sher
Khalid Irfan
Sher
mauj-e-dariyaa se balaa kii chaahiye kashtii mujhe
ho jo bilkul naa-muvaafiq vo havaa paidaa karuu.n
Taashshuq Lakhnavi
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Nasim Zahid
Sher
Dilawar Figar
Sher
yahaa.n to phuul bhii aapas me.n baat karte hai.n
tumhaare baaG me.n bilkul havaa kaa shor nahii.n
Devang Thakur
Sher
nizaam-e-zindagii bilkul alag tashkiil hotaa hai
KHalaa me.n raushnii kaa zaa.iqa tabdiil hotaa hai
Tauheed Zeb
Sher
ab to havaa-e-shahr bhii bilkul tirii tarah
ye chaahtii hai ko.ii diyaa baam par na ho
Anjum Farooq
Sher
naala-e-bulbul-e-shaidaa to sunaa ha.ns ha.ns kar
ab jigar thaam ke baiTho mirii baarii aa.ii