SEARCH RESULTS
Showing search results for "bindas"
Sher MATCHES FOR "bindas"
Sher
samjhegaa aadmii ko vahaa.n kaun aadmii
banda jahaa.n KHudaa ko KHudaa maantaa nahii.n
Saba Akbarabadi
Sher
ek siitaa kii rifaaqat hai to sab kuchh paas hai
zindagii kahte hai.n jis ko raam kaa ban-baas hai
Hafeez Banarasi
Sher
tuu qaadir o aadil hai magar tere jahaa.n me.n
hai.n talKH bahut banda-e-mazduur ke auqaat
Allama Iqbal
Sher
be-niyaazii had se guzrii banda-parvar kab talak
ham kahe.nge haal-e-dil aur aap farmaave.nge kyaa
Mirza Ghalib
Sher
Izhar Asar
Sher
dushman-e-jaa.n hii sahii dost samajhtaa huu.n use
bad-du.aa jis kii mujhe ban ke du.aa lagtii hai
Murtaza Barlas
Sher
tauhiid to ye hai ki KHudaa hashr me.n kah de
ye banda zamaane se KHafaa mere liye hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
aa.iina kaisaa thaa vo shaam-e-shakebaa.ii kaa
saamnaa kar na sakaa apnii hii biinaa.ii kaa
Saba Akbarabadi
Sher
saraapaa aarzuu hone ne banda kar diyaa ham ko
vagarna ham KHudaa the gar dil-e-be-mudda.aa hote
Meer Taqi Meer
Sher
jo kam-nigaah the vahii ahl-e-nazar bane
ham ko hamaare diida-e-biinaa se kyaa milaa
Mubarak Mungeri
Sher
Shahzad Ahmad
Sher
ik zamaane tak badan be-KHvaab be-aadaab the
phir achaanak apnii uryaanii kaa andaaza hu.aa
Shaheen Abbas
Sher
bharii jo hasrat-o-yaas apnii guftuguu me.n hai
KHudaa hii jaane ki banda kis aarzuu me.n hai
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ro ro ke log kahte the jaatii rahegii aa.nkh
aisaa nahii.n hu.aa, mirii biinaa.ii ba.Dh ga.ii