SEARCH RESULTS
Showing search results for "bistar-band"
Sher MATCHES FOR "bistar-band"
Sher
Gaur kar dekho to ye ik taar kaa bistaar hai
rishta-e-tasbiih aur sar-rishta-e-zunnaar band
Waliullah Muhib
Sher
marne ke baa'd KHud hii bikhar jaa.uu.ngaa kahii.n
ab qabr kyaa banegii agar ghar nahii.n banaa
Bedil Haidri
Sher
yaad ban ke pahluu me.n mausamo.n ke bistar par
karvaTe.n badaltii hai.n mehrbaaniyaa.n saarii
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
ik raat chaa.ndnii mire bistar pe aa.ii thii
mai.n ne taraash kar tiraa chehra banaa diyaa
Ahmad Mushtaq
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
band mahram ke vo khulvaate hai.n ham se beshtar
aaj-kal sone kii chi.Diyaa hai hamaare haath me.n
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
be-saaKHta bikhar ga.ii jalvo.n kii kaa.enaat
aa.iina TuuT kar tirii a.ng.Daa.ii ban gayaa
Saghar Siddiqui
Sher
ko.ii bashar kabhii paanii banaa nahii.n saktaa
KHudaa ke hone kaa pahlaa subuut paanii hai
Usman Minai
Sher
qurbate.n bhii duuriyo.n kaa ban ga.ii.n aksar sabab
is liye behtar hai un kii be-ruKHii baaqii rahe
Afroz Talib
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
sazaa-e-maut pe fariyaad se to behtar hai
gale lagaa ke kahuu.n daar ko mubaarak baad
Afzal Khan
Sher
bad-tar hai maut se bhii Gulaamii kii zindagii
mar jaa.iyo magar ye gavaaraa na kiijiyo
Hafeez Merathi
Sher
aadmii honaa KHudaa hone se behtar kaam hai
KHud hii KHud ke KHvaab kii ta.abiir ban kar dekh le
Kumar Vishwas
Sher
ashk vo hai jo rahe aa.nkh me.n gauhar ban kar
aur TuuTe to bikhar jaa.e nagiino.n kii tarah
Akhtar Muslimi
Sher
baad-e-tark-e-ulfat bhii yuu.n to ham jiye lekin
vaqt be-tarah biitaa umr be-sabab guzrii
Zuhoor Nazar
Sher
jiite-jii qadr bashar kii nahii.n hotii saahab
yaad aa.egii tumhe.n merii vafaa mere ba.ad
Munawar Khan Ghafil
Sher
tum 'razaa' ban ke musalmaan jo kaafir hii rahe
tum se behtar hai vo kaafir jo musalmaa.n na hu.aa
Aal-e-Raza Raza
Sher
duniyaa me.n ko.ii ishq se bad-tar nahii.n hai chiiz
dil apnaa muft diijiye phir jii se jaa.iye