SEARCH RESULTS
Showing search results for "bodh"
Sher MATCHES FOR "bodh"
Sher
ye sard raat ye aavaargii ye nii.nd kaa bojh
ham apne shahr me.n hote to ghar ga.e hote
Ummeed Fazli
Sher
ba.Dh ke tuufaan ko aaGosh me.n le le apnii
Duubne vaale tire haath se saahil to gayaa
Abdul Hamid Adam
Sher
farishte se ba.Dh kar hai insaan ban.naa
magar is me.n lagtii hai mehnat ziyaada
Altaf Hussain Hali
Sher
jhuuT vaale kahii.n se kahii.n ba.Dh ga.e
aur mai.n thaa ki sach boltaa rah gayaa
Waseem Barelvi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
tuu ne kahaa na thaa ki mai.n kashtii pe bojh huu.n
aa.nkho.n ko ab na Dhaa.np mujhe Duubte bhii dekh
Shakeb Jalali
Sher
mu.D ke dekhaa to hame.n chho.D ke jaatii thii hayaat
ham ne jaanaa thaa ko.ii bojh giraa hai sar se
Zahida Zaidi
Sher
Dushyant Kumar
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
sach hai ehsaan kaa bhii bojh bahut hotaa hai
chaar phuulo.n se dabii jaatii hai turbat merii
Jaleel Manikpuri
Sher
Shad Azimabadi
Sher
Munawwar Rana
Sher
vazn har chiiz kii tauqiir ba.Dhaa detaa hai
zindagii bojh sahii phir bhii uThaa.e rakhiye
Taj Bhopali
Sher
allaah-re us gul kii kalaa.ii kii nazaakat
bal khaa ga.ii jab bojh pa.Daa ra.ng-e-hinaa kaa
Ameer Minai
Sher
thakan se chuur hai saaraa vajuud ab meraa
mai.n bojh itne Gamo.n kaa to Dho nahii.n saktaa