SEARCH RESULTS
Showing search results for "boso"
Sher MATCHES FOR "boso"
Sher
jannat kii ne.amato.n kaa mazaa vaa.izo.n ko ho
ham to hai.n mahv lazzat-e-bos-o-kanaar me.n
Hatim Ali Mehr
Sher
vo ek raat to mujh se alag na so.egaa
hu.aa jo lazzat-e-bos-o-kanaar se vaaqif
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
muddat se ishtiyaaq hai bos-o-kanaar kaa
gar hukm ho shuruu.a kare apnaa kaam hirs
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
bos-o-kanaar ke liye ye sab fareb hai.n
iz.haar-e-paak-baazii o zauq-e-nazar Galat
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
duur rahtaa hai magar jumbish-e-lab bos-o-kanaar
Duubtaa rahtaa hai dariyaa me.n kinaaraa kyaa kyaa
Abul Hasanat Haqqi
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
Ada Jafarey
Sher
be-KHudii me.n le liyaa bosa KHataa kiije mu.aaf
ye dil-e-betaab kii saarii KHataa thii mai.n na thaa
Meerza Abul Muzaffar Zafar
Sher
bosa-e-ruKHsaar par takraar rahne diijiye
liijiye yaa diijiye inkaar rahne diijiye
Hafeez Jaunpuri
Sher
bosa jo ruKH kaa dete nahii.n lab kaa diijiye
ye hai masal ki phuul nahii.n pa.nkhu.Dii sahii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
Mirza Ghalib
Sher
dikhaa ke jumbish-e-lab hii tamaam kar ham ko
na de jo bosa to mu.nh se kahii.n javaab to de
Mirza Ghalib
Sher
ek bosa ho.nT par phailaa tabassum ban gayaa
jo haraarat thii mirii us ke badan me.n aa ga.ii