SEARCH RESULTS
Showing search results for "bove"
Sher MATCHES FOR "bove"
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
sunaa hai bole to baato.n se phuul jha.Dte hai.n
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
mai.n ne puuchhaa ki hai kyaa shaGl to ha.ns kar bole
aaj kal ham tere marne kii du.aa karte hai.n
Jalal Lakhnavi
Sher
bosa jo talab mai.n ne kiyaa ha.ns ke vo bole
ye husn kii daulat hai luTaa.ii nahii.n jaatii
Unknown
Sher
be-gintii bose le.nge ruKH-e-dil-pasand ke
aashiq tire pa.Dhe nahii.n ilm-e-hisaab ko
Haidar Ali Aatish
Sher
mai.n ne ye soch ke bo.e nahii.n KHvaabo.n ke daraKHt
kaun jangal me.n uge pe.D ko paanii degaa
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
bose biivii ke ha.nsii bachcho.n kii aa.nkhe.n maa.n kii
qaid-KHaane me.n giraftaar samajhiye ham ko
Fuzail Jafri
Sher
mohabbat ek paakiiza amal hai is liye shaayad
simaT kar sharm saarii ek bose me.n chalii aa.ii
Munawwar Rana
Sher
bole ko.ii ha.ns kar to chhi.Dak dete hai.n jaa.n bhii
lekin ko.ii ruuThe to manaayaa nahii.n jaataa
Abdul Hamid Adam
Sher
jo de rahe ho zamii.n ko vahii zamii.n degii
babuul bo.e to kaise gulaab niklegaa
Ehsan Danish Kandhlvi
Sher
bole ki tujh ko diin kii islaah farz hai
mai.n chal diyaa ye kah ke ki aadaab arz hai
Akbar Allahabadi
Sher
Aasi Ghazipuri
Sher
Zameer Atraulvi
Sher
jis lab ke Gair bose le.n us lab se 'sheftaa'
kambaKHt gaaliyaa.n bhii nahii.n mere vaaste