SEARCH RESULTS
Showing search results for "bujhaanaa"
Sher MATCHES FOR "bujhaanaa"
Sher
apne diye ko chaa.nd bataane ke vaaste
bastii kaa har charaaG bujhaanaa pa.Daa hame.n
Jaleel 'Aali'
Sher
Irfan Siddiqi
Sher
mujhe charaaG bujhaanaa pa.Daa thaa majbuuran
tumhaaraa saayaa nahii.n jaa rahaa thaa kyaa kartaa
Ahmad Sageer
Sher
mai.n ek sham-e-sar-e-rah-guzaar huu.n 'ajmal'
na jaane kis liye mujh ko bujhaanaa chaahtaa hai
Naseem Ajmal
Sher
aag aisii hai kuchh us me.n ki bujhaanaa hai muhaal
barf aisii hai ki pighlaa nahii.n saktaa ko.ii
Haneef Najmi
Sher
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
tire va.ado.n pe kahaa.n tak miraa dil fareb khaa.e
ko.ii aisaa kar bahaana mirii aas TuuT jaa.e
Fana Nizami Kanpuri
Sher
ab tak dil-e-KHush-fahm ko tujh se hai.n umiide.n
ye aaKHirii sham.e.n bhii bujhaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
but-KHaana to.D Daaliye masjid ko Dhaa.iye
dil ko na to.Diye ye KHudaa kaa maqaam hai
Haidar Ali Aatish
Sher
duniyaa ne terii yaad se begaana kar diyaa
tujh se bhii dil-fareb hai.n Gam rozgaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
apne jalne me.n kisii ko nahii.n karte hai.n shariik
raat ho jaa.e to ham sham.a bujhaa dete hai.n
Saba Akbarabadi
Sher
jis taraf tuu hai udhar ho.ngii sabhii kii nazre.n
iid ke chaa.nd kaa diidaar bahaana hii sahii
Amjad Islam Amjad
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
ra.ng KHushbuu aur mausam kaa bahaanaa ho gayaa
apnii hii tasviir me.n chehra puraanaa ho gayaa
Khalid Ghani
Sher
mirii zindagii to guzrii tire hijr ke sahaare
mirii maut ko bhii pyaare ko.ii chaahiye bahaana
Jigar Moradabadi
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
vo puuchhtaa thaa mirii aa.nkh bhiigne kaa sabab
mujhe bahaana banaanaa bhii to nahii.n aayaa