SEARCH RESULTS
Showing search results for "bulaa"
Sher MATCHES FOR "bulaa"
Sher
Mirza Ghalib
Sher
KHud chale aa.o yaa bulaa bhejo
raat akele basar nahii.n hotii
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
'Gaalib' tiraa ahvaal sunaa de.nge ham un ko
vo sun ke bulaa le.n ye ijaaraa nahii.n karte
Mirza Ghalib
Sher
Mohammad Alvi
Sher
maanaa ki mai.n hazaar fasiilo.n me.n qaid huu.n
lekin kabhii KHuluus se mujh ko bulaa ke dekh
Naseem Nikhat
Sher
ku.n.e.n kii samt bulaa le na ko.ii KHvaab mujhe
mai.n apne baap kaa sab se hasiin beTaa huu.n
Sarfraz Zahid
Sher
bulaa ke baat bhii kii aur muskuraa bhii diyaa
kiyaa shahiid bhii qaatil ne KHuu.n-bahaa bhii diyaa
Aziz Safipuri
Sher
mujhe bulaa ke yahaa.n aap chhup gayaa ko.ii
vo mehmaa.n huu.n jise mezbaa.n nahii.n miltaa
Fani Badayuni
Sher
liijiye bulaa liyaa aap ko KHayaal me.n
ab to dekhiye hame.n ko.ii dekhtaa nahii.n
Shamim Karhani
Sher
miraa akelaa KHudaa yaad aa rahaa hai mujhe
ye sochtaa hu.aa girjaa bulaa rahaa hai mujhe
Saqi Faruqi
Sher
tuu faraaham na ho mujh ko ye hai marzii terii
tujh ko jab chaahuu.n bulaa luu.n ye ijaazat mujhe de
Farhat Ehsas
Sher
yuu.n mohabbat se na ham KHaana-ba-dosho.n ko bulaa
itne saada hai.n ki ghar-baar uThaa laa.e.nge
Ata Turab
Sher
Muneer Niyazi
Sher
mujh aise rind ko bhii tuu ne hashr me.n yaa rab
bulaa liyaa hai to kuchh intizaam ho jaa.e
Unknown
Sher
nigaah-e-shauq kii hairaaniyo.n ko kyaa kahiye
unhe.n bulaa bhii liyaa e'tibaar bhii na kiyaa