SEARCH RESULTS
Showing search results for "butaan-e-vahm-o-gumaa.n"
Sher MATCHES FOR "butaan-e-vahm-o-gumaa.n"
Sher
Farooq Nazki
Sher
haa.e us minnat-kash-e-vahm-o-gumaa.n kii justujuu
zindagii jis ko na paa.e jo na paa.e zindagii
Shaukat Pardesi
Sher
vahm-o-gumaa.n ne aas ba.ndhaa.ii tamaam raat
aahaT KHiraam-e-naaz kii aa.ii tamaam raat
Jalee Amrohvi
Sher
tamaam vahm o gumaa.n hai to ham bhii dhoka hai.n
isii KHayaal se duniyaa ko mai.n ne pyaar kiyaa
Sagheer Malal
Sher
Umair Manzar
Sher
thaa mujhe vahm-o-gumaa.n kii vo faqat merii hai
aur us ne bhii bharam meraa banaa.e rakkhaa
Aks samastipuri
Sher
muddat se mai.n safar me.n huu.n vahm-o-gumaa.n ke saath
ye raasta tamaam fareb-e-nazar na ho
Muneer Sultanpuri
Sher
diyaa vo jo na thaa vahm-o-gumaa.n me.n
bhalaa mai.n aur kyaa maa.nguu.n KHudaa se
Mardan Ali Khan Rana
Sher
kuchh ta'alluq bhii nahii.n rasm-e-jahaa.n se aage
us se rishta bhii rahaa vahm o gumaa.n se aage
Kabir Ajmal
Sher
charaaG saamne vaale makaan me.n bhii na thaa
ye saaneha mire vahm-o-gumaan me.n bhii na thaa
Jamal Ehsani
Sher
Habeeb Moosavi
Sher
ishq marhuun-e-hikaayaat-o-gumaa.n bhii hogaa
vaaqi.a hai to kisii taur bayaa.n bhii hogaa
Arshad Abdul Hamid
Sher
ba.Dhne lagii yaqiin o gumaa.n me.n jo kashmakash
va.ada bhii sub.h o shaam pe Taltaa chalaa gayaa
Nayyar Sultanpuri
Sher
kab tak najaat paa.e.nge vahm o yaqii.n se ham
uljhe hu.e hai.n aaj bhii duniyaa o dii.n se ham
Saba Akbarabadi
Sher
butaan-e-shahr tumhaare larazte haatho.n me.n
ko.ii to sang ho aisaa ki meraa sar le jaa.e
Liyaqat Ali Aasim
Sher
vahm o KHirad ke maare hai.n shaayad sab log
dekh rahaa huu.n shiishe ke ghar chaaro.n or
Saleem Shahzad
Sher
butaan-e-hind mire dil me.n hai.n dar aa.e hu.e
KHudaa ke ghar ko ghar apnaa hai.n ye banaa.e hu.e
Zeba
Sher
butaan-e-shahr ko ye e'tiraaf ho ki na ho
zabaan-e-ishq kii sab guftuguu samajhte hai.n