SEARCH RESULTS
Showing search results for "camero.n"
Sher MATCHES FOR "camero.n"
Sher
ab udaas phirte ho sardiyo.n kii shaamo.n me.n
is tarah to hotaa hai is tarah ke kaamo.n me.n
Shoaib Bin Aziz
Sher
khii.ncho na kamaano.n ko na talvaar nikaalo
jab top muqaabil ho to aKHbaar nikaalo
Akbar Allahabadi
Sher
qabro.n me.n nahii.n ham ko kitaabo.n me.n utaaro
ham log mohabbat kii kahaanii me.n mare.n hai.n
Ejaaz tawakkal
Sher
KHudaa ke haath me.n mat sau.np saare kaamo.n ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa iKHtiyaar bhii rakh
Nida Fazli
Sher
hasiin yaado.n ke chaa.nd ko alvidaa.a kah kar
mai.n apne ghar ke a.ndhere kamro.n me.n lauT aayaa
Hasan Abbasi
Sher
Bashir Badr
Sher
Zareef Lakhnavi
Sher
mai.n KHud ko dekhuu.n agar duusre kii aa.nkho.n se
mile.ngii KHaamiyaa.n apne hii shah-kaaro.n me.n
Sardar Asif
Sher
Nasir Kazmi
Sher
ham kaafiro.n ne shauq me.n roza to rakh liyaa
ab hausla ba.Dhaane ko iftaar bhii to ho
Bharat Bhushan Pant
Sher
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
kabhii to shahiido.n kii qabro.n pe aa.o
ye sab ghar tumhaare basaa.e hu.e hai.n
Taashshuq Lakhnavi
Sher
nazar to aate hai.n kamro.n me.n chalte-phirte magar
ye ghar ke log na jaane kahaa.n ga.e hu.e hai.n
Abdul Ahad Saaz
Sher
chaahiye hai mujhe inkaar-e-mohabbat mire dost
lekin is me.n tiraa inkaar nahii.n chaahiye hai
Ahmad Kamran
Sher
muntazir huu.n tirii aavaaz se tasviir talak
ek vaqfa hii to darkaar thaa milne ke liye
Kamran Nafees
Sher
qatro.n se samundar kaa banaanaa nahii.n mushkil
qatre me.n samundar ko samone kii adaa siikh