SEARCH RESULTS
Showing search results for "cha.nvar"
Sher MATCHES FOR "cha.nvar"
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
ik mulaaqaat kaa jaaduu ki utartaa hii nahii.n
tirii KHushbuu mirii chaadar se nahii.n jaatii hai
Rahat Indori
Sher
gul ke hone kii tavaqqo.a pe jiye baiThii hai
har kalii jaan ko muTThii me.n liye baiThii hai
Mah Laqa Chanda
Sher
ham nii.nd kii chaadar me.n lipTe hu.e chalte hai.n
is bhes me.n ab ham se milnaa ho to aa jaanaa
Varis Kirmani
Sher
muflis ke badan ko bhii hai chaadar kii zaruurat
ab khul ke mazaaro.n pe ye elaan kiyaa jaa.e
Qateel Shifai
Sher
jo de sakaa na pahaa.Do.n ko barf kii chaadar
vo merii baa.njh zamii.n ko kapaas kyaa degaa
Mohsin Naqvi
Sher
yuu.n kis tarah kaTegaa ka.Dii dhuup kaa safar
sar par KHayaal-e-yaar kii chaadar hii le chale.n
Nasir Kazmi
Sher
Kausar Mazhari
Sher
aur kuchh bhii mujhe darkaar nahii.n hai lekin
merii chaadar mire pairo.n ke baraabar kar de
Shahid Meer
Sher
Parveen Shakir
Sher
vaqt lafzo.n se banaa.ii hu.ii chaadar jaisaa
o.Dh letaa huu.n to sab KHvaab hunar lagtaa hai
Abbas Tabish
Sher
jur.at-e-shauq to kyaa kuchh nahii.n kahtii lekin
paa.nv phailaane nahii.n detii hai chaadar mujh ko
Bismil Azimabadi
Sher
kabhii sayyaad kaa khaTkaa hai kabhii KHauf-e-KHizaa.n
bulbul ab jaan hathelii pe liye baiThii hai